sambhal jao chaman walo KHatar hai hum na kahte the
sambhal jaao chaman vaalo ḳhatar hai ham na kahte the
jamāl-e-gul ke parde meñ sharar hai ham na kahte the
laboñ kī tishnagī ko zabt kā ik jaam kaafī hai
chhalaktā jaam zahr-e-kār-gar hai ham na kahte the
zamāna DhūñDhtā phirtā hai jis ko ik zamāne se
mohabbat kī vo ik pahlī nazar hai ham na kahte the
qayāmat aa ga.ī lekin vo aa.e haiñ na ā.eñge
shab-e-furqat kī kab koī sahar hai ham na kahte the
ġham-e-jānāñ ġham-e-ayyām ke sāñche meñ Dhaltā hai
ke ik ġham dūsre kā chāragar hai ham na kahte the
taḌaptī kauñdtī thī barq lahrātī machaltī thī
hamāre chaar tinkoñ par nazar hai ham na kahte the
ġhubār-e-rāh meñ kho jā.egā ye kārvāñ āḳhir
ke rahzan kārvāñ kā rāhbar hai ham na kahte the
nishān-e-manzil-e-maqsūd se āgāh the 'vāsif'
fareb-e-āgahī se kab mafar hai ham na kahte the
sambhal jao chaman walo KHatar hai hum na kahte the
jamal-e-gul ke parde mein sharar hai hum na kahte the
labon ki tishnagi ko zabt ka ek jam kafi hai
chhalakta jam zahr-e-kar-gar hai hum na kahte the
zamana DhunDhta phirta hai jis ko ek zamane se
mohabbat ki wo ek pahli nazar hai hum na kahte the
qayamat aa gai lekin wo aae hain na aaenge
shab-e-furqat ki kab koi sahar hai hum na kahte the
gham-e-jaanan gham-e-ayyam ke sanche mein Dhalta hai
ke ek gham dusre ka chaaragar hai hum na kahte the
taDapti kaundti thi barq lahraati machalti thi
hamare chaar tinkon par nazar hai hum na kahte the
ghubar-e-rah mein kho jaega ye karwan aaKHir
ke rahzan karwan ka rahbar hai hum na kahte the
nishan-e-manzil-e-maqsud se aagah the 'wasif'
fareb-e-agahi se kab mafar hai hum na kahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.