samjhaun hun yahi dil-e-nakaam ke tain
samjhaun hun yahi dil-e-nakaam ke tain
Ghulam Naqshband Sajjad
MORE BYGhulam Naqshband Sajjad
samjhā.ūñ huuñ yahī dil-e-nākām ke ta.iiñ
āġhāz bech soñch le anjām ke ta.iiñ
kyā jāvegā bigḌe kahīñ qudrat kā haath Tak
deve palaT jo gardish-e-ayyām ke ta.iiñ
saudā kare hai ġham kā jo bāzār-e-ishq biich
sau dukh ke bhaav bech hai ārām ke ta.iiñ
vaa.iz sunā de sidra-e-tūbā kī guftugū
ham chāheñ apne sarv-o-gul-andām ke ta.iiñ
bole hai shaiḳh mujh satī saaqī ko kah do tum
īdhar ko bhī baḌhāve kaso jaam ke ta.iiñ
bhāve nahīñ hai hai shaiḳh kī sohbat ye mai-kasho
baiThā do saath mat kaso badnām ke ta.iiñ
'sajjād' kaahe khīñche hai tū āh-e-nā-rasā
toḌe hai koī bhī samar-e-ḳhām ke ta.iiñ
samjhaun hun yahi dil-e-nakaam ke tain
aaghaz bech sonch le anjam ke tain
kya jawega bigDe kahin qudrat ka hath Tak
dewe palaT jo gardish-e-ayyam ke tain
sauda kare hai gham ka jo bazar-e-ishq bich
sau dukh ke bhaw bech hai aaram ke tain
waiz suna de sidra-e-tuba ki guftugu
hum chahen apne sarw-o-gul-andam ke tain
bole hai shaiKH mujh sati saqi ko kah do tum
idhar ko bhi baDhawe kaso jam ke tain
bhawe nahin hai hai shaiKH ki sohbat ye mai-kasho
baiTha do sath mat kaso badnam ke tain
'sajjad' kahe khinche hai tu aah-e-na-rasa
toDe hai koi bhi samar-e-KHam ke tain
- Book : Bihar Men Urdu Ki Sufiyana Shairi (Pg. 124)
- Author : Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press, Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.