jo hasin aaya nazar dilbar hamara ho gaya
jo hasīñ aayā nazar dilbar hamārā ho gayā
dil kā pyārā ho gayā āñkhoñ kā taarā ho gayā
haaye is andāz se zālim ne maarā tīr-e-nāz
dil huā TukḌe jigar bhī paarā paarā ho gayā
ba.ad muddat phir mirī taqdīr jaagī shukr hai
kūcha-e-jānāñ meñ ab apnā guzārā ho gayā
tañg aa.e haiñ dil-e-vahshat se ab ham kyā kareñ
aah ye kambaḳht kyuuñ dushman hamārā ho gayā
ġhair muñh taktā rahā maiñ arz-e-matlab kar chukā
mujh se un se āñkhoñ āñkhoñ meñ ishāra ho gayā
ruk ga.e aañsū mire dard-e-jigar kuchh kam huā
is but-e-sīmīñ-badan kā jab nazāra ho gayā
dil bhī tum ko de chukā qurbān jaañ bhī kar chukā
ab to ye bāvar kaaro 'sanjar' tumhārā ho gayā
jo hasin aaya nazar dilbar hamara ho gaya
dil ka pyara ho gaya aankhon ka tara ho gaya
haye is andaz se zalim ne mara tir-e-naz
dil hua TukDe jigar bhi para para ho gaya
baad muddat phir meri taqdir jagi shukr hai
kucha-e-jaanan mein ab apna guzara ho gaya
tang aae hain dil-e-wahshat se ab hum kya karen
aah ye kambaKHt kyun dushman hamara ho gaya
ghair munh takta raha main arz-e-matlab kar chuka
mujh se un se aankhon aankhon mein ishaara ho gaya
ruk gae aansu mere dard-e-jigar kuchh kam hua
is but-e-simin-badan ka jab nazara ho gaya
dil bhi tum ko de chuka qurban jaan bhi kar chuka
ab to ye bawar karo 'sanjar' tumhaara ho gaya
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 9)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.