nala ai bulbul na kar charKH-e-kuhan jal jaega
naala ai bulbul na kar charḳh-e-kuhan jal jā.egā
aag lag jā.egī duniyā meñ chaman jal jā.egā
garm aaheñ khīñch ai majnūñ samajh kar dasht meñ
saath sahrā ke tirā dīvānāpan jal jā.egā
rañg lā.egā mirā soz-e-mohabbat qabr meñ
ustuḳhvāñ ho jā.egā sho.ale kafan jal jā.egā
ātish-e-ġham kī taraqqī hai jo roz afzūñ yahī
hai yaqīñ ik roz apnā tan-badan jal jā.egā
kyā ḳhabar thī be-basoñ par ishq barsā.egā aag
tesha ban jā.egā sho.ala kohkan jal jā.egā
maiñ na samjhā thā ki mujh ko dekh ke hogā tū aag
ḳhirman-e-armān-o-hasrat be-suḳhan jal jā.egā
'sanjar'-e-ātish zabāñ ko kyuuñ jalāte ho ki vo
sar-basar ḳhud sūrat-e-sham.a lagan jal jā.egā
nala ai bulbul na kar charKH-e-kuhan jal jaega
aag lag jaegi duniya mein chaman jal jaega
garm aahen khinch ai majnun samajh kar dasht mein
sath sahra ke tera diwanapan jal jaega
rang laega mera soz-e-mohabbat qabr mein
ustuKHwan ho jaega shoale kafan jal jaega
aatish-e-gham ki taraqqi hai jo roz afzun yahi
hai yaqin ek roz apna tan-badan jal jaega
kya KHabar thi be-bason par ishq barsaega aag
tesha ban jaega shoala kohkan jal jaega
main na samjha tha ki mujh ko dekh ke hoga tu aag
KHirman-e-arman-o-hasrat be-suKHan jal jaega
'sanjar'-e-atish zaban ko kyun jalate ho ki wo
sar-basar KHud surat-e-shama lagan jal jaega
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 10)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.