jab KHuda se law lagai jaegi
jab ḳhudā se lo lagā.ī jā.egī
phir duā kab koī ḳhālī jā.egī
tākte haiñ dil vo merā baar baar
kyā koī hasrat nikālī jā.egī
aañkh milte hī kisī ma.ashūq se
phir tabī.at kyā sambhālī jā.egī
gar kabhī chamkegī vo barq-e-jamāl
aañkh phir kab us pe Daalī jā.egī
haaye kab hogā unheñ merā ḳhayāl
aah bekas kī na ḳhālī jā.egī
chhoḌiye ab sharm ye farmā.iye
hasrat dil kī kab nikālī jā.egī
soñch kar ye un ko chheḌā ham ne aaj
muñh se un ke kuchh duā lī jā.egī
kam-sinī kī zid javānī meñ bhī hai
in kī kab ye ḳhurd-sālī jā.egī
saḳht-jāñ 'sanjar' huā hai ishq meñ
teġh ab qātil kī ḳhālī jā.egī
jab KHuda se lo lagai jaegi
phir dua kab koi KHali jaegi
takte hain dil wo mera bar bar
kya koi hasrat nikali jaegi
aankh milte hi kisi mashuq se
phir tabiat kya sambhaali jaegi
gar kabhi chamkegi wo barq-e-jamal
aankh phir kab us pe Dali jaegi
haye kab hoga unhen mera KHayal
aah bekas ki na KHali jaegi
chhoDiye ab sharm ye farmaiye
hasrat dil ki kab nikali jaegi
sonch kar ye un ko chheDa hum ne aaj
munh se un ke kuchh dua li jaegi
kam-sini ki zid jawani mein bhi hai
in ki kab ye KHurd-sali jaegi
saKHt-jaan 'sanjar' hua hai ishq mein
tegh ab qatil ki KHali jaegi
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 16)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.