ishq mein is shoala-ru ke aise be-KHud ho gae
ishq meñ is sho.ala-rū ke aise be-ḳhud ho ga.e
aap bhī aane na paa.e the kī āḳhir kho ga.e
aah us parda-nashīñ kī justujū meñ jo ga.e
kuchh pata paayā na us kā ḳhud hī jā kar kho ga.e
Duub kar bahr-e-mohabbat se nikalnā hai muhāl
ek hī ġhota meñ goyā lāpata ham ho ga.e
aish-o-ishrat fikr-e-duniyā ranj-o-ġham aur be-kasī
koī saath aayā na jis dam qabr meñ ham so ga.e
apnī hastī ko miTāne kā milā phal ba.ad-e-marg
haT gayā parda duī kā ek vo ham ho ga.e
ham ne jab jaisā kiyā vaisā sila hāsil huā
phal vahī ham ko milā jaisā yahāñ phal bo ga.e
nek-o-bad do hī amal jaate haiñ dam ke saath saath
qabr meñ shāmil mere ye ban ke rahbar do ga.e
dahr-e-fānī meñ hañsī kaisī ḳhushī kyā chiiz hai
rone aa.e the yahāñ do-chār din ko ro ga.e
paak ai 'sanjar' hue duniyā ke sab jhagḌoñ se aaj
qabr meñ ba.ad-e-fanā ārām se ham so ga.e
ishq mein is shoala-ru ke aise be-KHud ho gae
aap bhi aane na pae the ki aaKHir kho gae
aah us parda-nashin ki justuju mein jo gae
kuchh pata paya na us ka KHud hi ja kar kho gae
Dub kar bahr-e-mohabbat se nikalna hai muhaal
ek hi ghota mein goya lapata hum ho gae
aish-o-ishrat fikr-e-duniya ranj-o-gham aur be-kasi
koi sath aaya na jis dam qabr mein hum so gae
apnī hasti ko miTane ka mila phal baad-e-marg
haT gaya parda dui ka ek wo hum ho gae
hum ne jab jaisa kiya waisa sila hasil hua
phal wahi hum ko mila jaisa yahan phal bo gae
nek-o-bad do hi amal jate hain dam ke sath sath
qabr mein shamil mere ye ban ke rahbar do gae
dahr-e-fani mein hansi kaisi KHushi kya chiz hai
rone aae the yahan do-chaar din ko ro gae
pak ai 'sanjar' hue duniya ke sab jhagDon se aaj
qabr mein baad-e-fana aaram se hum so gae
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 20)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.