buton ko jo pyar karte nahin hain
butoñ ko jo pyaar karte nahīñ haiñ
ki un ke koī taur achchhe nahīñ haiñ
jo āshiq haiñ tere taḌapte nahīñ haiñ
kabhī āh-o-nāle vo karte nahīñ haiñ
nazar aate ho mujh ko har-sū tumhīñ tum
mire dil pe ġhaflat ke parde nahīñ haiñ
ye haiñ ḳhūn-e-bismil kī dhāreñ ai qātil
tirī āñkhoñ meñ surḳh Dore nahīñ haiñ
jise ishq-e-sādiq tumhārā hai ai jaañ
bilakte nahīñ vo sisakte nahīñ haiñ
nazar un pe terī hai lutf-e-karam kī
terī raah se jo ki bahke nahīñ haiñ
paḌe un ke dil par haiñ zulmat ke parde
terī zaat ko jo samajhte nahīñ haiñ
lagī aag ulfat kī hai jab se dil meñ
sulagte haiñ aise ki jalte nahīñ haiñ
na dushman hai apnā na koī adū hai
tere ishaq meñ koī jhagḌe nahīñ haiñ
baḌī shaan un kī baḌā martaba hai
kuchh āshiq tere aise vaise nahīñ haiñ
gire haiñ jo bahr-e-mohabbat meñ aa kar
vo Duube haiñ aise ubharte nahīñ haiñ
tire nā-tavāñ rāh-e-ulfat meñ ai jaañ
sambhal kar jo jiite haiñ girte nahīñ haiñ
ho duniyā meñ jis se terā naam 'sanjar'
koī tere ash.ār aise nahīñ haiñ
kabhī in butoñ ko na chāheñge 'sanjar'
ki ham husn-e-fānī ke tarse nahīñ haiñ
buton ko jo pyar karte nahin hain
ki un ke koi taur achchhe nahin hain
jo aashiq hain tere taDapte nahin hain
kabhi aah-o-nale wo karte nahin hain
nazar aate ho mujh ko har-su tumhin tum
mere dil pe ghaflat ke parde nahin hain
ye hain KHun-e-bismil ki dhaaren ai qatil
teri aankhon mein surKH Dore nahin hain
jise ishq-e-sadiq tumhaara hai ai jaan
bilakte nahin wo sisakte nahin hain
nazar un pe teri hai lutf-e-karam ki
teri rah se jo ki bahke nahin hain
paDe un ke dil par hain zulmat ke parde
teri zat ko jo samajhte nahin hain
lagi aag ulfat ki hai jab se dil mein
sulagte hain aise ki jalte nahin hain
na dushman hai apna na koi adu hai
tere ishaq mein koi jhagDe nahin hain
baDi shan un ki baDa martaba hai
kuchh aashiq tere aise waise nahin hain
gire hain jo bahr-e-mohabbat mein aa kar
wo Dube hain aise ubharte nahin hain
tere na-tawan rah-e-ulfat mein ai jaan
sambhal kar jo jite hain girte nahin hain
ho duniya mein jis se tera nam 'sanjar'
koi tere ashaar aise nahin hain
kabhi in buton ko na chahenge 'sanjar'
ki hum husn-e-fani ke tarse nahin hain
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 33)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.