ye duniya-e-fani hai aani-jaani sambhal ke chaliye qadam qadam par
ye duniya-e-fani hai aani-jaani sambhal ke chaliye qadam qadam par
Sanjar Ghazipuri
MORE BYSanjar Ghazipuri
ye duniyā-e-fānī hai ānī-jānī sambhal ke chaliye qadam qadam par
ki muft jaaye na zindagānī sambhal ke chaliye qadam qadam par
na kiije barbād naujavānī ki do hī din kī hai zindagānī
ḳhudā kī sūrat ye hai dikhānī sambhal ke chaliye qadam qadam par
jo māñgnā ho ḳhudā se māñgo usī se baḳhshish kī iltijā ho
gunāh Dhal kar ho paanī paanī sambhal ke chaliye qadam qadam par
gire jo behosh ho ke muusā to muskurā kar vo shoḳh bolā
kahāñ ga.ī vo lan-tarānī sambhal ke chaliye qadam qadam par
tumhīñ nigāhoñ meñ ho samā.e tumhīñ ho aalam se muñh chhupā.e
nahīñ hai koī tumhārā saanī sambhal ke chaliye qadam qadam par
butoñ se ulfat jo kar rahe ho hasīnoñ par dil se mar rahe ho
na TuuTe ġham tum pe āsmānī sambhal ke chaliye qadam qadam par
nahīñ hai duniyā meñ tum ko rahnā lahad meñ 'sanjar' paḌegā sonā
samajh ke us ko sarā-e-fānī sambhal ke chaliye qadam qadam par
ye duniya-e-fani hai aani-jaani sambhal ke chaliye qadam qadam par
ki muft jaye na zindagani sambhal ke chaliye qadam qadam par
na kije barbaad naujawani ki do hi din ki hai zindagani
KHuda ki surat ye hai dikhani sambhal ke chaliye qadam qadam par
jo mangna ho KHuda se mango usi se baKHshish ki iltija ho
gunah Dhal kar ho pani pani sambhal ke chaliye qadam qadam par
gire jo behosh ho ke musa to muskura kar wo shoKH bola
kahan gai wo lan-tarani sambhal ke chaliye qadam qadam par
tumhin nigahon mein ho samae tumhin ho aalam se munh chhupae
nahin hai koi tumhaara sani sambhal ke chaliye qadam qadam par
buton se ulfat jo kar rahe ho hasinon par dil se mar rahe ho
na TuTe gham tum pe aasmani sambhal ke chaliye qadam qadam par
nahin hai duniya mein tum ko rahna lahad mein 'sanjar' paDega sona
samajh ke us ko sara-e-fani sambhal ke chaliye qadam qadam par
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 52)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.