zehn mein ek daira-sa ban gaya hai nur ka
zehn meñ ik dā.irā-sā ban gayā hai nuur kā
ibtidā-e-ishq meñ pahlā safar hai tuur kā
shar kā kaisā shāḳhsāna hai ḳhudā ke naam par
thī sadā alla kī hulqūm thā mansūr kā
naġhma-e-qumrī-o-bulbu ke fasāne haiñ bahut
kab kisī ne dard parkhā bhuul kar usfūr kā
garm-o-sad-e-zindagī aur ye vajūd-e-muḳhtasar
bā.is-e-taqlīd paayā hausla taifūr kā
raqs karte jhūmte dekhā giroh ablahāñ
kyā masarrat us meñ paa.ī shor hai nā-qūr kā
is jahāñ meñ ibtidā se aaj tak har daur meñ
juz mohammad kaun haamī hai bhalā mazdūr kā
haath ḳhālī be-sahārā jam.a kar le zād-e-rāh
sāqib-e-kHasta jigar aglā safar hai duur kā
zehn mein ek daira-sa ban gaya hai nur ka
ibtida-e-ishq mein pahla safar hai tur ka
shar ka kaisa shaKHsana hai KHuda ke nam par
thi sada alla ki hulqum tha mansur ka
naghma-e-qumri-o-bulbu ke fasane hain bahut
kab kisi ne dard parkha bhul kar usfur ka
garm-o-sad-e-zindagi aur ye wajud-e-muKHtasar
bais-e-taqlid paya hausla taifur ka
raqs karte jhumte dekha giroh ablahan
kya masarrat us mein pai shor hai na-qur ka
is jahan mein ibtida se aaj tak har daur mein
juz mohammad kaun hami hai bhala mazdur ka
hath KHali be-sahaara jama kar le zad-e-rah
saqib-e-kHasta jigar agla safar hai dur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.