sar-e-mai-KHana koi parsa ab tak nahin aaya
sar-e-mai-KHana koi parsa ab tak nahin aaya
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
sar-e-mai-ḳhāna koī pārsā ab tak nahīñ aayā
hameñ piine pilāne kā mazā ab tak nahīñ aayā
kiyā va.ada magar vo be-vafā ab tak nahīñ aayā
ḳhudā ma.alūm kab tak aa.egā ab tak nahīñ aayā
falak kī gardisheñ hairāñ haiñ us kī be-misālī par
koī aisā sitamgar dūsrā ab tak nahīñ aayā
shabāb aayā hijāb aayā adā.eñ ā.ga.īñ un ko
nahīñ aayā to andāz-e-vafā ab tak nahīñ aayā
nigāheñ un kī uTThīñ ghūm-phir kar ġhair tak pahuñchīñ
mirī jānib koī tīr-e-qazā ab tak nahīñ aayā
tumhī ai ham-nashīno nāma-bar kī kuchh ḳhabar laao
zarā phir dekh lo ye kyā kahā ab tak nahīñ aayā
hazāroñ ko hai da.ava nā-ḳhudā.ī kā magar ham ko
nazar koī bhī sāhil āshnā ab tak nahīñ aayā
mire nazdīk to ’uzr-e-ḳhatā inkār-e-rahmat hai
ḳhatā-kāroñ ko andāz-e-ḳhatā ab tak nahīñ aayā
palaT kar aa nahīñ saktā adam kī raah se koī
ye duniyā chhoḌ kar jo bhī gayā ab tak nahīñ aayā
mire ġham-ḳhāna-e-hastī kī shab tārīk hai kitnī
koī jugnū koī raushan diyā ab tak nahīñ aayā
ye ik tum ho ki ik muddat se ham ko bhūle baiThe ho
ye ik ham haiñ ki ham ko bhūlnā ab tak nahīñ aayā
'nasīr' us ne dam-e-ruḳhsat na kyā kyā khaa.ī thiiñ qasmeñ
magar dekho zarā vo be-vafā ab tak nahīñ aayā
sar-e-mai-KHana koi parsa ab tak nahin aaya
hamein pine pilane ka maza ab tak nahin aaya
kiya wada magar wo be-wafa ab tak nahin aaya
KHuda malum kab tak aaega ab tak nahin aaya
falak ki gardishen hairan hain us ki be-misali par
koi aisa sitamgar dusra ab tak nahin aaya
shabab aaya hijab aaya adaen aagain un ko
nahin aaya to andaz-e-wafa ab tak nahin aaya
nigahen un ki uTThin ghum-phir kar ghair tak pahunchin
meri jaanib koi tir-e-qaza ab tak nahin aaya
tumhi ai ham-nashino nama-bar ki kuchh KHabar lao
zara phir dekh lo ye kya kaha ab tak nahin aaya
hazaron ko hai dawa na-KHudai ka magar hum ko
nazar koi bhi sahil aashna ab tak nahin aaya
mere nazdik to ’uzr-e-KHata inkar-e-rahmat hai
KHata-karon ko andaz-e-KHata ab tak nahin aaya
palaT kar aa nahin sakta adam ki rah se koi
ye duniya chhoD kar jo bhi gaya ab tak nahin aaya
mere gham-KHana-e-hasti ki shab tarik hai kitni
koi jugnu koi raushan diya ab tak nahin aaya
ye ek tum ho ki ek muddat se hum ko bhule baiThe ho
ye ek hum hain ki hum ko bhulna ab tak nahin aaya
'nasir' us ne dam-e-ruKHsat na kya kya khai thin qasmen
magar dekho zara wo be-wafa ab tak nahin aaya
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 705)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.