sar hai apna aur tegh-e-yar honi ho so ho
sar hai apnā aur teġh-e-yār honī ho so ho
jaañ rahe yā jaa.e ab kī baar honī ho so ho
gar na rahne paa.eñ us kūche meñ lekin jā.eñge
jab talak hai tāqat-e-raftār honī ho so ho
ham se kū-e-yār kā jaanā na chhūTegā kabhī
jo sitam chāheñ kareñ aġhyār honī ho so ho
'āshnā' sahnā jafā aġhyār kī par haath se
chhoḌ na dāman-e-dildār honī ho so ho
sar hai apna aur tegh-e-yar honi ho so ho
jaan rahe ya jae ab ki bar honi ho so ho
gar na rahne paen us kuche mein lekin jaenge
jab talak hai taqat-e-raftar honi ho so ho
hum se ku-e-yar ka jaana na chhuTega kabhi
jo sitam chahen karen aghyar honi ho so ho
'ashna' sahna jafa aghyar ki par hath se
chhoD na daman-e-dildar honi ho so ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.