sarzamin-e-chisht ki aab-o-hawa kuchh aur hai
sarzamin-e-chisht ki aab-o-hawa kuchh aur hai
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
sarzamīn-e-chisht kī āb-o-havā kuchh aur hai
dīn-o-duniyā se nirālā aur hī kuchh taur hai
phir rahe haiñ har galī-kūcha meñ az ḳhud raftagāñ
ishq kī vaañ saltanat hai be-ḳhudī kā daur hai
koī shuġhl-e-nīstī meñ nīst-o-nābūd hai
koī nazzāra meñ haq ke ik tamāsha-tau hai
vo jo ik arse meñ hotā hai muyassar aur jaah
yāvarī se ishq kī hāsil yahāñ fil-faur hai
vo to almās-e-nagīñ haiñ yā ki haiñ durr-e-yamīñ
kāñch kī tū pot hai yā reza-e-billaur hai
sarzamin-e-chisht ki aab-o-hawa kuchh aur hai
din-o-duniya se nirala aur hi kuchh taur hai
phir rahe hain har gali-kucha mein az KHud raftagan
ishq ki wan saltanat hai be-KHudi ka daur hai
koi shughl-e-nisti mein nist-o-nabud hai
koi nazzara mein haq ke ek tamasha-tau hai
wo jo ek arse mein hota hai muyassar aur jah
yawari se ishq ki hasil yahan fil-faur hai
wo to almas-e-nagin hain ya ki hain durr-e-yamin
kanch ki tu pot hai ya reza-e-billaur hai
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 161)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.