sauda nazar ka dard jigar ka kahan gaya
saudā nazar kā dard jigar kā kahāñ gayā
ye āfateñ bhī saath ga.iiñ maiñ jahāñ gayā
sābit huā ye hai tirā andāz-e-mustaqil
dil se tirī nigāh-e-karam kā gumāñ gayā
tanhā.ī-e-firāq kā qissa fuzūl hai
jab tū gayā yañh se to saarā jahāñ gayā
ai yaas dasht hī ko jo manzil banāī.e
ab yād-e-kārvāñ hai abas kārvāñ gayā
pahchāntā hai merī nazar ko har ik hasīñ
mujh par balā.eñ TuuT paḌīñ maiñ jahāñ gayā
un kī nazar se kaun kahe dil kā mājrā
ai hairat-e-ḳharābī-e-dil maiñ kahāñ gayā
vo din ki jab thī sohbat-e-'maikash' surūr-e-dil
vo daur vo zamāna ab ai mehrbāñ gayā
sauda nazar ka dard jigar ka kahan gaya
ye aafaten bhi sath gain main jahan gaya
sabit hua ye hai tera andaz-e-mustaqil
dil se teri nigah-e-karam ka guman gaya
tanhai-e-firaq ka qissa fuzul hai
jab tu gaya yanh se to sara jahan gaya
ai yas dasht hi ko jo manzil banaie
ab yaad-e-karwan hai abas karwan gaya
pahchanta hai meri nazar ko har ek hasin
mujh par balaen TuT paDin main jahan gaya
un ki nazar se kaun kahe dil ka majra
ai hairat-e-KHarabi-e-dil main kahan gaya
wo din ki jab thi sohbat-e-'maikash' surur-e-dil
wo daur wo zamana ab ai mehrban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.