muKHaddaraat-e-giroh-e-muslim hamari haalat mein kya rahi hai
muKHaddaraat-e-giroh-e-muslim hamari haalat mein kya rahi hai
Syeda Khairabadi
MORE BYSyeda Khairabadi
muḳhaddarāt-e-giroh-e-muslim hamārī hālat meñ kyā rahī hai
ye ġhaflat-e-be-panāh tauba ki qaum-e-muslim pe chhā rahī hai
muāshrat ke tarīq bhūle tamaddun-e-ḳhush-salīk bhūle
tamīz-e-qaum-o-farīq bhūle usī kī tahzīb bhā rahī hai
vo tarz-e-aḳhlāq-e-ahamadī bhī vo tasm-e-ādāb-e-hāshmī bhī
vo shaan hī ham se miT ga.ī hamārī hālat batā rahī hai
vo jañg-e-Mu'tah vo jañg-e-ḳhaibar vo harb-e-ḳhālid vo zarb-e-haidar
vo teġh-e-muslim kī shān-e-jauhar ki shān-e-muslim batā rahī hai
magar vo hālat kahāñ hai baaqī vo jāh-o-saulat kahāñ hai baaqī
vo teġh-e-himmat kahāñ hai baaqī ki tāb-o-tāqat kyā rahī hai
vo azm baaqī na razm baaqī na shaukat-o-shān-e-bazm baaqī
hamārī har baat miT chukī hai ki ham ko qismat miTā rahī hai
ḳharāb hālat huī yahāñ tak taġhāful-e-be-mahal kahāñ tak
ki shāh-rāh-e-amal pe duniyā qadam barābar uThā rahī hai
ḳhudā ye din bhī guzār degā vo 'sayyada' phir qarār degā
hamārī hālat sañvār degā ki kis kī bigḌī sadā rahī hai
muKHaddaraat-e-giroh-e-muslim hamari haalat mein kya rahi hai
ye ghaflat-e-be-panah tauba ki qaum-e-muslim pe chha rahi hai
muashrat ke tariq bhule tamaddun-e-KHush-salik bhule
tamiz-e-qaum-o-fariq bhule usi ki tahzib bha rahi hai
wo tarz-e-aKHlaq-e-ahamadi bhi wo tasm-e-adab-e-hashmi bhi
wo shan hi hum se miT gai hamari haalat bata rahi hai
wo jang-e-Mu'tah wo jang-e-KHaibar wo harb-e-KHalid wo zarb-e-haidar
wo tegh-e-muslim ki shan-e-jauhar ki shan-e-muslim bata rahi hai
magar wo haalat kahan hai baqi wo jah-o-saulat kahan hai baqi
wo tegh-e-himmat kahan hai baqi ki tab-o-taqat kya rahi hai
wo azm baqi na razm baqi na shaukat-o-shan-e-bazm baqi
hamari har baat miT chuki hai ki hum ko qismat miTa rahi hai
KHarab haalat hui yahan tak taghaful-e-be-mahal kahan tak
ki shah-rah-e-amal pe duniya qadam barabar uTha rahi hai
KHuda ye din bhi guzar dega wo 'sayyada' phir qarar dega
hamari haalat sanwar dega ki kis ki bigDi sada rahi hai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 79)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.