shikasta-pa hun sharik apne karwan mein nahin
shikasta-pā huuñ sharīk apne kārvāñ meñ nahīñ
mere nasīb kī gardish bhī āsmāñ meñ nahīñ
yahī to quvvat-e-tahqīq bāġhbāñ meñ nahīñ
kahāñ ga.iiñ vo bahāreñ jo bostāñ meñ nahīñ
havās jam.a nahīñ rabt jism-o-jāñ meñ nahīñ
jo chāhtā huuñ vo tartīb kārvāñ meñ nahīñ
har ek dil ko hai dushvār ma.arifat merī
vo raaz huuñ jo abhī zehn-e-rāz-dāñ meñ nahīñ
muhīt-e-ġhalba-e-vahdat hai fitrat-e-insāñ
samajh rahā hai ki mujh sā jahāñ meñ nahīñ
uchhāle detī hai ġhammāzī-e-nigāh mujhe
maiñ raaz ban ke bhī qābū-e-rāz-dāñ meñ nahīñ
qafas kī qaid se chhūTe bure zamāne meñ
hamāre vaqt kā tinkā bhī āshiyāñ meñ nahīñ
ta.alluqāt kā ronā hai yaad kī fariyād
ye jāntā huuñ ki maiñ zehn-e-nauha-ḳhvāñ meñ nahīñ
vahāñ subūt mohabbat kā dene aayā huuñ
jahāñ sharīk farishte bhī imtihāñ meñ nahīñ
ḳhudā kā shukr adā kar rahā huuñ ġhurbat meñ
ki mare paañv meñ kāñTe sahī zabāñ meñ nahīñ
maiñ chāhtā huuñ ki manzil hī muñh se bol uThe
fazā-shanās koī mire kārvāñ meñ nahīñ
jahāñ meñ ishq kī miTTī ḳharāb hai 'sīmāb'
zamīñ tañg hai gunjā.ish āsmāñ meñ nahīñ
shikasta-pa hun sharik apne karwan mein nahin
mere nasib ki gardish bhi aasman mein nahin
yahi to quwwat-e-tahqiq baghban mein nahin
kahan gain wo bahaaren jo bostan mein nahin
hawas jama nahin rabt jism-o-jaan mein nahin
jo chahta hun wo tartib karwan mein nahin
har ek dil ko hai dushwar marifat meri
wo raaz hun jo abhi zehn-e-raaz-dan mein nahin
muhit-e-ghalba-e-wahdat hai fitrat-e-insan
samajh raha hai ki mujh sa jahan mein nahin
uchhaale deti hai ghammazi-e-nigah mujhe
main raaz ban ke bhi qabu-e-raaz-dan mein nahin
qafas ki qaid se chhuTe bure zamane mein
hamare waqt ka tinka bhi aashiyan mein nahin
talluqat ka rona hai yaad ki fariyaad
ye jaanta hun ki main zehn-e-nauha-KHwan mein nahin
wahan subut mohabbat ka dene aaya hun
jahan sharik farishte bhi imtihan mein nahin
KHuda ka shukr ada kar raha hun ghurbat mein
ki mare panw mein kanTe sahi zaban mein nahin
main chahta hun ki manzil hi munh se bol uThe
faza-shanas koi mere karwan mein nahin
jahan mein ishq ki miTTi KHarab hai 'simab'
zamin tang hai gunjaish aasman mein nahin
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 112)
- Publication : Fine Book Pritners (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.