main hun jahan wahan hai nazar ka guzar kahan
maiñ huuñ jahāñ vahāñ hai nazar kā guzar kahāñ
hai ismat-e-jamāl ko tāb-e-nazar kahāñ
manzūr hai abhī unheñ pās-e-nazar kahāñ
va.ada kiyā hai jalva-garī kā magar kahāñ
thī shorish-e-bahār meñ itnī ḳhabar kahāñ
kyā jaane maiñ ne pheñk diye bāl-o-par kahāñ
manzil par munhasir hai musāfir tirā sukūñ
rakhī hai ye matā.a sar-e-rah-guzar kahāñ
māh-o-nujūm se bhī pare mahv-e-sair huuñ
dekhā hai tuune merā maqām-e-nazar kahāñ
zinda-dilān-e-ishq-o-fanā rāz-o-hasat buud
ye mulk-e-jāvedāñ ke musāfir idhar kahāñ
ujḌā aur aisī shaan se ujḌā mirā chaman
ye bhī pata nahīñ ki banāyā thā ghar kahāñ
ġhārat hotī to haiñ mirī bedāriyāñ kahīñ
maiñ jahāñ ḳhvāb se thā peshtar kahāñ
pahuñchā huuñ rāh-e-dūr se hastī kī shaam tak
ab ġhaur kar rahā huuñ ki hogī sahar kahāñ
apne junūn-e-ḳhām kī takmīl kījiye
'sīmāb' phir ye mausam-e-dīvāna-gar kahāñ
main hun jahan wahan hai nazar ka guzar kahan
hai ismat-e-jamal ko tab-e-nazar kahan
manzur hai abhi unhen pas-e-nazar kahan
wada kiya hai jalwa-gari ka magar kahan
thi shorish-e-bahaar mein itni KHabar kahan
kya jaane main ne phenk diye baal-o-par kahan
manzil par munhasir hai musafir tera sukun
rakhi hai ye mataa sar-e-rah-guzar kahan
mah-o-nujum se bhi pare mahw-e-sair hun
dekha hai tune mera maqam-e-nazar kahan
zinda-dilan-e-ishq-o-fana raaz-o-hasat bud
ye mulk-e-jawedan ke musafir idhar kahan
ujDa aur aisi shan se ujDa mera chaman
ye bhi pata nahin ki banaya tha ghar kahan
ghaarat hoti to hain meri bedariyan kahin
main jahan KHwab se tha peshtar kahan
pahuncha hun rah-e-dur se hasti ki sham tak
ab ghaur kar raha hun ki hogi sahar kahan
apne junun-e-KHam ki takmil kijiye
'simab' phir ye mausam-e-diwana-gar kahan
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 113)
- Publication : Fine Book Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.