Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jase maal-e-tamasha par etibar rahe

Seemab Akbarabadi

jase maal-e-tamasha par etibar rahe

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    jase ma.āl-e-tamāshā par e'tibār rahe

    vo kyuuñ faraib-kash-e-jalva-e-bahār rahe

    na hairatī na girāñ-bār-e-intezār rahe

    nazar vo hai jo sharīk-e-jamāl-e-yār rahe

    haqīqatan the hijāb-o-jamāl ham-ma.anī

    vo jitne chhup ga.e utne āshkār rahe

    ik aisā giit sunā kar ho mā.il-e-parvāz

    chaman meñ phir tirī aamad intizār rahe

    kisī se ham ko na thī duniyā meñ koī ummīd

    magar kisī na kisī ke ummīd-vār rahe

    Thahar sake na jab ik markaz-e-muayyan par

    to kyā nigāh-e-tamāshā e'tibār rahe

    ye ab ke josh-e-junūñ nayā taqāzā hai

    ki bāġhbāñ na rahe baaġh meñ bahār rahe

    rahe to a.alam-e-hastī meñ der tak 'sīmāb'

    magar malāl rahā ki musta.ār rahe

    jase maal-e-tamasha par e'tibar rahe

    wo kyun faraib-kash-e-jalwa-e-bahaar rahe

    na hairati na giran-bar-e-intezar rahe

    nazar wo hai jo sharik-e-jamal-e-yar rahe

    haqiqatan the hijab-o-jamal ham-mani

    wo jitne chhup gae utne hi aashkar rahe

    ek aisa git suna kar ho mail-e-parwaz

    chaman mein phir teri aamad ka intizar rahe

    kisi se hum ko na thi duniya mein koi ummid

    magar kisi na kisi ke ummid-war rahe

    Thahar sake na jab ek markaz-e-muayyan par

    to kya nigah-e-tamasha ka e'tibar rahe

    ye ab ke josh-e-junun ka naya taqaza hai

    ki baghban na rahe bagh mein bahaar rahe

    rahe to aalam-e-hasti mein der tak 'simab'

    magar malal raha ki mustaar rahe

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 114)
    • Publication : Fine Book Printers (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now