ye KHushi uski jo milna use manzur nahin
ye ḳhushī us kī jo milnā use manzūr nahīñ
rag-e-jāñ duur hai insāñ se vo duur nahīñ
aur hī jalve halākat ke liye kyā kam haiñ
na ho be-parda ik jalva-e-mastūr nahīñ
jabr se tere aqīdat ho to ye baat hai aur
varna insāñ kisī haal meñ majbūr nahīñ
ai muqaddar evaz-e-ishq na de tāj-e-shahī
are maiñ to kah rahā huuñ mujhe manzūr nahīñ
merī nāzish meñ bhī terī hī ḳhudī hai mahfūz
ai mere dost maiñ ḳhuddār huuñ maġhrūr nahīñ
unheñ mānūs-e-vafā aaj maiñ kar luuñ lekin
husn ko ishq banānā mujhe manzūr nahīñ
ḳhatm kyuuñ silsila-e-dār-o-rasan ho 'sīmāb'
ham to baaqī haiñ agar shiblī-o-mansūr nahīñ
ye KHushi us ki jo milna use manzur nahin
rag-e-jaan dur hai insan se wo dur nahin
aur hi jalwe halakat ke liye kya kam hain
na ho be-parda ek jalwa-e-mastur nahin
jabr se tere aqidat ho to ye baat hai aur
warna insan kisi haal mein majbur nahin
ai muqaddar ewaz-e-ishq na de taj-e-shahi
are main to kah raha hun mujhe manzur nahin
meri nazish mein bhi teri hi KHudi hai mahfuz
ai mere dost main KHuddar hun maghrur nahin
unhen manus-e-wafa aaj main kar lun lekin
husn ko ishq banana mujhe manzur nahin
KHatm kyun silsila-e-dar-o-rasan ho 'simab'
hum to baqi hain agar shibli-o-mansur nahin
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 114)
- Publication : Fine Book Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.