wo tanhai ho ya mahfil ho taskin dil ki mushkil hai
wo tanhai ho ya mahfil ho taskin dil ki mushkil hai
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
vo tanhā.ī ho yā mahfil ho taskīñ dil kī mushkil hai
banā letā hai ḳhud apne liye jalve ye vo dil hai
hai bātil mahfil-e-ālam to phir mushkil hī mushkil hai
mirī nazreñ bhī bātil haiñ tirā jalva bhī bātil hai
vahāñ huuñ maiñ jahāñ tam.īz-e-husn-o-ishq mushkil hai
har ik jalva ab āġhosh-e-nazar meñ jalva-e-dil hai
kamāl-e-ilm-o-tahqīq-e-mukammal kā ye hāsil hai
tirā idrāk mushkil thā tirā idrāk mushkil hai
ye vīrānī tasavvur kī vo rañgīnī ḳhayāloñ kī
kabhī mahfil meñ ḳhalvat hai kabhī ḳhalvat meñ mahfil hai
ġhalat samjhā jo tū mahdūd samjhā rāh-e-hastī ko
jahāñ hotī hai manzil ḳhatm vo āġhāz-e-manzil hai
junūñ kā haath dāman se na pahuñchā parda-e-dil tak
abhī baaqī vahī pābandī-e-ādāb-e-mahmil hai
ba-qadr-e-zarf-o-himmat sahl-o-mushkil hai rah-e-ulfat
yahāñ sāhil bhī dariyā hai yahāñ dariyā bhī sāhil hai
uḌā kar dhajjiyāñ pairāhan-e-hastī kī ḳhush thā maiñ
nidā aa.ī ye dīvāne junūñ kī pahlī manzil hai
huī ma.alūm vaj.h-e-iztirāb-o-shorish-e-ālam
yahāñ dil hai har ik zarra har ik zarra meñ ik dil hai
maiñ ġhāfil ho ke dānista ḳharāb-e-bazm-e-hastī huuñ
samajhtā huuñ ki ye mahfil nahīñ hai ḳhvāb-e-mahfil hai
vo ā.īna ho yā ho phuul taara ho ki paimāna
kahīñ jo kuchh bhī TuuTā maiñ yahī samjhā mirā dil hai
na chheḌ ai naġhma-gar taskīn-e-be-hañgāma ke naġhme
fazāoñ meñ abhī gunjā.ish-e-shor-e-salāsil hai
ujālā ho to DhūñDūñ dil bhī parvānoñ kī lāshoñ meñ
mirī barbādiyoñ ko intizār-e-sub.h-e-mahfil hai
ilāhī ġhaflat-e-ālam ko rañg-e-hoshiyārī de
ki tū ġhāfil nahīñ duniyā se duniyā tujh se ġhāfil hai
vo dil le kar hameñ be-dil na samjheñ un se kah denā
jo haiñ maare hue nazroñ ke un kī har nazar dil hai
vo ai 'sīmāb' kyuuñ sar-gashta-e-tasnīm-o-jannat ho
mayassar jis ko sair-e-tāj aur jamunā kā sāhil hai
wo tanhai ho ya mahfil ho taskin dil ki mushkil hai
bana leta hai KHud apne liye jalwe ye wo dil hai
hai baatil mahfil-e-alam to phir mushkil hi mushkil hai
meri nazren bhi baatil hain tera jalwa bhi baatil hai
wahan hun main jahan tamiz-e-husn-o-ishq mushkil hai
har ek jalwa ab aaghosh-e-nazar mein jalwa-e-dil hai
kamal-e-ilm-o-tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai
tera idrak mushkil tha tera idrak mushkil hai
ye virani tasawwur ki wo rangini KHayalon ki
kabhi mahfil mein KHalwat hai kabhi KHalwat mein mahfil hai
ghalat samjha jo tu mahdud samjha rah-e-hasti ko
jahan hoti hai manzil KHatm wo aaghaz-e-manzil hai
junun ka hath daman se na pahuncha parda-e-dil tak
abhi baqi wahi pabandi-e-adab-e-mahmil hai
ba-qadr-e-zarf-o-himmat sahl-o-mushkil hai rah-e-ulfat
yahan sahil bhi dariya hai yahan dariya bhi sahil hai
uDa kar dhajjiyan pairahan-e-hasti ki KHush tha main
nida aai ye diwane junun ki pahli manzil hai
hui malum wajh-e-iztirab-o-shorish-e-alam
yahan dil hai har ek zarra har ek zarra mein ek dil hai
main ghafil ho ke danista KHarab-e-bazm-e-hasti hun
samajhta hun ki ye mahfil nahin hai KHwab-e-mahfil hai
wo aaina ho ya ho phul tara ho ki paimana
kahin jo kuchh bhi TuTa main yahi samjha mera dil hai
na chheD ai naghma-gar taskin-e-be-hangama ke naghme
fazaon mein abhi gunjaish-e-shor-e-salasil hai
ujala ho to DhunDun dil bhi parwanon ki lashon mein
meri barbaadiyon ko intizar-e-subh-e-mahfil hai
ilahi ghaflat-e-alam ko rang-e-hoshiyari de
ki tu ghafil nahin duniya se duniya tujh se ghafil hai
wo dil le kar hamein be-dil na samjhen un se kah dena
jo hain mare hue nazron ke un ki har nazar dil hai
wo ai 'simab' kyun sar-gashta-e-tasnim-o-jannat ho
mayassar jis ko sair-e-taj aur jamuna ka sahil hai
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 262)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.