muKHtalif hayulon mein ek meri tamanna thi
muḳhtalif hayūloñ meñ ik mirī tamannā thī
chhup ga.ī to uqbā thī mil ga.ī to duniyā thī
kuchh ajab mohabbat meñ nīyyat-e-tamāshā thī
ik nazar meñ jalve the ik nazar meñ duniyā thī
dīda-zeb thī duniyā qābil-e-tamāshā thī
dil agar na mar jaatā zindagī burī kyā thī
shab-sitān-e-ālam meñ sham.a ban ke aayā thā
mujh ko sirf utnī hī fursat-e-tamāshā thī
sau tarah taḳhayyul kī karvaTeñ badalnī thiiñ
the fareb fitrat ke diin thā na duniyā thī
avval avval ik muusā mā.il-e-tamāshā the
rafta rafta hastī kī har uThān muusā thī
har shafaq kī maujoñ meñ the ġhurūb sau aalam
har sahar ke parde meñ ik jadīd duniyā thī
fitrat-e-talab ma.alūm haañ magar ye dekhā hai
jis ne chhoḌ dī duniyā us ke saath duniyā thī
jāda-e-tavakkul bhī ik ajiib jaada thā
maiñ jidhar bhī jaatā thā Thokaroñ meñ duniyā thī
tū havas meñ duniyā kī zindagī miTā baiThā
bhuul ho ga.ī ġhāfil zindagī hī duniyā thī
maiñ jiyā bhī duniyā meñ aur jaan bhī de dī
ye na khul sakā lekin aap kī ḳhushī kyā thī
bhiik chhup-chhupā kar dī kyuuñ na apne jalvoñ kī
māñgne ko muusā the dekhne ko duniyā thī
maiñ fareb-e-sūrat meñ be-niyāz-e-ma.anī thā
merī zindagī 'sīmāb' ik hasīn dhokā thī
muKHtalif hayulon mein ek meri tamanna thi
chhup gai to uqba thi mil gai to duniya thi
kuchh ajab mohabbat mein niyyat-e-tamasha thi
ek nazar mein jalwe the ek nazar mein duniya thi
dida-zeb thi duniya qabil-e-tamasha thi
dil agar na mar jata zindagi buri kya thi
shab-sitan-e-alam mein shama ban ke aaya tha
mujh ko sirf utni hi fursat-e-tamasha thi
sau tarah taKHayyul ki karwaTen badalni thin
the fareb fitrat ke din tha na duniya thi
awwal awwal ek musa mail-e-tamasha the
rafta rafta hasti ki har uThan musa thi
har shafaq ki maujon mein the ghurub sau aalam
har sahar ke parde mein ek jadid duniya thi
fitrat-e-talab malum han magar ye dekha hai
jis ne chhoD di duniya us ke sath duniya thi
jada-e-tawakkul bhi ek ajib jada tha
main jidhar bhi jata tha Thokaron mein duniya thi
tu hawas mein duniya ki zindagi miTa baiTha
bhul ho gai ghafil zindagi hi duniya thi
main jiya bhi duniya mein aur jaan bhi de di
ye na khul saka lekin aap ki KHushi kya thi
bhik chhup-chhupa kar di kyun na apne jalwon ki
mangne ko musa the dekhne ko duniya thi
main fareb-e-surat mein be-niyaz-e-mani tha
meri zindagi 'simab' ek hasin dhoka thi
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 274)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.