ye taghayyur runuma ho jaega socha na tha
ye taġhayyur rūnumā ho jā.egā sochā na thā
us kā dil dard-āshnā ho jāygā sochā na thā
nit na.e rāgoñ kī thī jis sāz-e-hastī se ummīd
vo bhī be-saut-o-sadā ho jā.egā sochā na thā
yuuñ sarāpā iltijā ban kar milā thā pahle rose
itnī jaldī vo ḳhudā ho jā.egā sochā na thā
vo ta.alluq jis ko donoñ hī samajhte the mazāq
is qadar bā-qā.edā ho jā.egā sochā na thā
jis sirāj-e-ajmalī se thiiñ ummīdeñ be-shumār
vo bhī nazr-e-vāh ho jā.egā sochā na thā
ye taghayyur runuma ho jaega socha na tha
us ka dil dard-ashna ho jayga socha na tha
nit nae ragon ki thi jis saz-e-hasti se ummid
wo bhi be-saut-o-sada ho jaega socha na tha
yun sarapa iltija ban kar mila tha pahle rose
itni jaldi wo KHuda ho jaega socha na tha
wo talluq jis ko donon hi samajhte the mazaq
is qadar ba-qaeda ho jaega socha na tha
jis siraj-e-ajmali se thin ummiden be-shumar
wo bhi nazr-e-wah ho jaega socha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.