shab-e-wasl apne nigahban hue hain
shab-e-vasl apne nigahbāñ hue haiñ
pareshāñ kyā hai pareshāñ hue haiñ
mare aage ġhairoñ se paimāñ hue haiñ
ye kam aap ke mujh par ehsāñ hue haiñ
samā.e haiñ apne nigāhoñ meñ aise
jab ā.īna dekhā hai hairāñ hue haiñ
farishtoñ meñ bhī shaiḳh sāhib kī gintī
ye rindoñ kī sohbat meñ insāñ hue haiñ
shab-e-vasl kyā jaane kitnī baḌī thī
bahut un ke gesū pareshāñ hue haiñ
kahāñ maiñ ne luuTī ma.āsī kī lazzat
vo kuchh bhī nahīñ haiñ jo isyāñ hue haiñ
kyā yuuñ judā gosht nāḳhun se us ne
ki dil se judā dil ke armāñ hue haiñ
mirā dam ulajhtā hai ai dast-e-vahshat
mujhe phāñsī tār-e-garebāñ hue haiñ
kuchh āvāzeñ aatī haiñ sunsān shab meñ
ab un se bhī ḳhālī bayābāñ hue haiñ
baḌī gahirī chhantī thī nādān dil se
baḌe yaar ġhārān ke paikāñ hue haiñ
machī hai baḌī dhuum ahal-e-haram meñ
'riyāz' aaj shāyad musalmāñ hue haiñ
shab-e-wasl apne nigahban hue hain
pareshan kya hai pareshan hue hain
mare aage ghairon se paiman hue hain
ye kam aap ke mujh par ehsan hue hain
samae hain apne nigahon mein aise
jab aaina dekha hai hairan hue hain
farishton mein bhi shaiKH sahib ki ginti
ye rindon ki sohbat mein insan hue hain
shab-e-wasl kya jaane kitni baDi thi
bahut un ke gesu pareshan hue hain
kahan main ne luTi maasi ki lazzat
wo kuchh bhi nahin hain jo isyan hue hain
kya yun juda gosht naKHun se us ne
ki dil se juda dil ke arman hue hain
mera dam ulajhta hai ai dast-e-wahshat
mujhe phansi tar-e-gareban hue hain
kuchh aawazen aati hain sunsan shab mein
ab un se bhi KHali bayaban hue hain
baDi gahiri chhanti thi nadan dil se
baDe yar ghaaran ke paikan hue hain
machi hai baDi dhum ahal-e-haram mein
'riyaz' aaj shayad musalman hue hain
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 319)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.