shab ki mahfil mein buton ki shama-ru jaanana tha
shab ki mahfil mein buton ki shama-ru jaanana tha
Syed Amjad Ali Shah
MORE BYSyed Amjad Ali Shah
shab ki mahfil meñ butoñ kī sham.a-rū jānāna thā
'ishq kī parvāngī se dil mirā parvāna thā
ho gayā begāna aisā merī sūrat se vo shoḳh
mil gayā jo raah meñ kal āshnā goyā na thā
chāk-chāk az bas huā dil ḳhanjar-e-ġham se bahut
kal jo dekhā us kī zulfoñ meñ misāl-e-shāna thā
āstān-e-dil pe kal kuchh paañv kā aahaT huā
maiñ ne jaanā chor hai dekhā to sāhab-e-ḳhāna thā
marte dam tak fauj-e-mizhgāñ se muqābil hī rahā
maiñ ye jānūñ huuñ ki jaanā dil mirā murdā na thā
hazrat-e-sauda kā 'asġhar' sun le kyā misra.a hai ḳhuub
'ishq kī ḳhilqat ke aage dil mirā dīvāna thā
shab ki mahfil mein buton ki shama-ru jaanana tha
'ishq ki parwangi se dil mera parwana tha
ho gaya begana aisa meri surat se wo shoKH
mil gaya jo rah mein kal aashna goya na tha
chaak-chaak az bas hua dil KHanjar-e-gham se bahut
kal jo dekha us ki zulfon mein misal-e-shana tha
aastan-e-dil pe kal kuchh panw ka aahaT hua
main ne jaana chor hai dekha to sahab-e-KHana tha
marte dam tak fauj-e-mizhgan se muqabil hi raha
main ye jaanun hun ki jaana dil mera murda na tha
hazrat-e-sauda ka 'asghar' sun le kya misra hai KHub
'ishq ki KHilqat ke aage dil mera diwana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.