thī ishq mein gham ki na kami KHun-e-jigar ki
thī ishq meñ ġham kī na kamī ḳhūn-e-jigar kī
khā pī ke bahut chain se auqāt basar kī
mushkil nazar aatā thā galā kaaT kar marnā
āḳhir ye muhim bhī tire jāñbāz ne sar kī
hairān hai dil ek hai choTeñ haiñ hazāroñ
khāte haiñ kidhar kī to bachāte haiñ kidhar kī
phir sun ke mirā naala vo ghabrā ke kaheñge
kam-baḳht ko is par bhī shikāyat hai asar kī
ye nāla-e-mahjūr hai yā naġhma-e-dā.ūd
halchal hai 'shafī' aaj sar-e-arsh asar kī
thī ishq mein gham ki na kami KHun-e-jigar ki
kha pi ke bahut chain se auqat basar ki
mushkil nazar aata tha gala kaT kar marna
aaKHir ye muhim bhi tere jaanbaz ne sar ki
hairan hai dil ek hai choTen hain hazaron
khate hain kidhar ki to bachate hain kidhar ki
phir sun ke mera nala wo ghabra ke kahenge
kam-baKHt ko is par bhi shikayat hai asar ki
ye nala-e-mahjur hai ya naghma-e-daud
halchal hai 'shafi' aaj sar-e-arsh asar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.