hum rote-rote mar gae un ko KHabar nahin
ham rote-rote mar ga.e un ko ḳhabar nahīñ
aaheñ bhī dhul ga.iiñ kahīñ rañg-e-asar nahīñ
mushkil hai sahl mulk-e-adam kā safar nahīñ
hai raah haul-nāk koī rāhbar nahīñ
jo shar-pasand aadmī hai vo bashar nahīñ
vo hai bashar ki jis kī tabī.at meñ shar nahīñ
ai ishq kyā huā tirā surmāya-e-ġhurūr
nāloñ meñ dard aah meñ rañg-e-asar nahīñ
dekhā kabhī na muḌ ke guloñ ne tirī taraf
itnā bhī terī aahoñ meñ bulbul asar nahīñ
naala vo kyā jo dil ko kisī ke hilā na de
vo bhī hai koī aah ki jis meñ asar nahīñ
'akbar' chalo madīna-e-mahbūb kī taraf
is se ziyāda pāk-o-moqaddas safar nahīñ
hum rote-rote mar gae un ko KHabar nahin
aahen bhi dhul gain kahin rang-e-asar nahin
mushkil hai sahl mulk-e-adam ka safar nahin
hai rah haul-nak koi rahbar nahin
jo shar-pasand aadmi hai wo bashar nahin
wo hai bashar ki jis ki tabiat mein shar nahin
ai ishq kya hua tera surmaya-e-ghurur
nalon mein dard aah mein rang-e-asar nahin
dekha kabhi na muD ke gulon ne teri taraf
itna bhi teri aahon mein bulbul asar nahin
nala wo kya jo dil ko kisi ke hila na de
wo bhi hai koi aah ki jis mein asar nahin
'akbar' chalo madina-e-mahbub ki taraf
is se ziyaada pak-o-moqaddas safar nahin
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 214)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.