tere fidai kahin apne sar ko dekhte hain
tire fidā.ī kahīñ apne sar ko dekhte haiñ
vo terī teġh ko terī kamar ko dekhte haiñ
ilāhī ḳhair ye sāmān kis ke qatl kā hai
vo teġh dekhte haiñ phir kamar ko dekhte haiñ
jidhar ishāra ho sajde kā us taraf ye phireñ
nigāh-e-bāz tumhārī nazar ko dekhte haiñ
vo apnī ghaat meñ haiñ aur apnī ghaat meñ ham
vo dil ko aur ham un kī nazar ko dekhte haiñ
rahe ḳhayāl ki ham bhī kareñge kal kuchh fikr
ham aaj aur tumhārī nazar ko dekhte haiñ
jidhar phireñ ye udhar saaf ho gayā maidāñ
janāb rokiye aap is nazar ko dekhte haiñ
nikal hī aa.e kafan sar se bāñdh kar ham bhī
bas aaj aap kī teġh-e-nazar ko dekhte haiñ
zamāna ho gayā hai vaqf-e-intizār ab tak
khulī hai aañkh tirī rahguzar ko dekhte haiñ
tumhāre dāñtoñ ke aage kisī kā mol nahīñ
guhar-shanās kahāñ ab guhar ko dekhte haiñ
jo tiir aap ke aa.e liye vo siina par
janāb aap hamāre jigar ko dekhte haiñ
ḳhabar nahīñ ke binā.eñ nishāna vo kis ko
kisī ke dil ko kisī ke jigar ko dekhte haiñ
tumhārī ḳhāk-e-qadam se ye lā-makāñ banā
ham aaj arsh par us TuuTe ghar ko dekhte haiñ
chale adam ko ye ghar aaj ham se chhuTtā hai
nigāh-e-yās se dīvār-o-dar ko dekhte haiñ
umīd-vār haiñ sajde kā hukm ho jaa.e
khaḌe haiñ kab se tire sañg-e-dar ko dekhte haiñ
hujūm hashr ke maidān meñ hai melā hai
khaḌe haiñ aur sab is fitna-gar ko dekhte haiñ
bahār aa.ī ye hālat hai ham safīroñ kī
kabhī qafas ko kabhī bāl-o-par ko dekhte haiñ
har ek barg ye kahtā hai shān-e-tuḳhm haiñ ham
nigāh-e-ġhaur se jab ham shajar ko dekhte haiñ
yahi vo shab hai shab-e-māh naam hai jis kā
ham apne pahlū meñ aaj us qamar ko dekhte haiñ
parī se ham ko ġharaz huur se hameñ matlab
bashar se aañkh laḌī hai bashar ko dekhte haiñ
malā.ika ko na thā hosh ye shab-e-me.arāj
ḳhudā ko dekhte haiñ yā bashar ko dekhte haiñ
hamārā shuġhl yahī hai bas ab tū ai 'akbar'
darūd paḌhte haiñ ḳhairul-bashar ko dekhte haiñ
tere fidai kahin apne sar ko dekhte hain
wo teri tegh ko teri kamar ko dekhte hain
ilahi KHair ye saman kis ke qatl ka hai
wo tegh dekhte hain phir kamar ko dekhte hain
jidhar ishaara ho sajde ka us taraf ye phiren
nigah-e-baz tumhaari nazar ko dekhte hain
wo apni ghat mein hain aur apni ghat mein hum
wo dil ko aur hum un ki nazar ko dekhte hain
rahe KHayal ki hum bhi karenge kal kuchh fikr
hum aaj aur tumhaari nazar ko dekhte hain
jidhar phiren ye udhar saf ho gaya maidan
janab rokiye aap is nazar ko dekhte hain
nikal hi aae kafan sar se bandh kar hum bhi
bas aaj aap ki tegh-e-nazar ko dekhte hain
zamana ho gaya hai waqf-e-intizar ab tak
khuli hai aankh teri rahguzar ko dekhte hain
tumhaare danton ke aage kisi ka mol nahin
guhar-shanas kahan ab guhar ko dekhte hain
jo tir aap ke aae liye wo sina par
janab aap hamare jigar ko dekhte hain
KHabar nahin ke binaen nishana wo kis ko
kisi ke dil ko kisi ke jigar ko dekhte hain
tumhaari KHak-e-qadam se ye la-makan bana
hum aaj arsh par us TuTe ghar ko dekhte hain
chale adam ko ye ghar aaj hum se chhuTta hai
nigah-e-yas se diwar-o-dar ko dekhte hain
umid-war hain sajde ka hukm ho jae
khaDe hain kab se tere sang-e-dar ko dekhte hain
hujum hashr ke maidan mein hai mela hai
khaDe hain aur sab is fitna-gar ko dekhte hain
bahaar aai ye haalat hai hum safiron ki
kabhi qafas ko kabhi baal-o-par ko dekhte hain
har ek barg ye kahta hai shan-e-tuKHm hain hum
nigah-e-ghaur se jab hum shajar ko dekhte hain
yahi wo shab hai shab-e-mah nam hai jis ka
hum apne pahlu mein aaj us qamar ko dekhte hain
pari se hum ko gharaz hur se hamein matlab
bashar se aankh laDi hai bashar ko dekhte hain
malaika ko na tha hosh ye shab-e-mearaj
KHuda ko dekhte hain ya bashar ko dekhte hain
hamara shughl yahi hai bas ab tu ai 'akbar'
darud paDhte hain KHairul-bashar ko dekhte hain
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 70)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.