kis kis ki nazar mein meri jaan aap nahin hain
kis kis ki nazar mein meri jaan aap nahin hain
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
kis kis kī nazar meñ mirī jaañ aap nahīñ haiñ
kyā aap ye farmāte haiñ ham parda-nashīñ haiñ
āñkhoñ hī kā parda hai magar duurī hai kitnī
ham ḳhāk-nashīñ ho ga.e vo a'rsh-nashīñ haiñ
chāTā kareñ aflāk ke tāroñ ko farishte
vo mālik-e-kaunain haiñ jo ḳhāk-nashīñ haiñ
ye jalva-e-dīdār ne behosh kiyā hai
mahfil meñ tirī yuuñ haiñ ki mahfil meñ nahīñ haiñ
haq to ye hai achchhoñ se jahāñ ho gayā ḳhālī
duniyā meñ ab allāh ke bande bhī nahīñ haiñ
dekhā terī āñkhoñ ko to kho.e ga.e aise
ab tak na pata is kā lagā ham bhī kahīñ haiñ
dekhe bhī koī ġhaur se āñḳheñ bhī hoñ 'akbar'
allāh to ḳhud kahtā hai ham tujh se qarīñ haiñ
kis kis ki nazar mein meri jaan aap nahin hain
kya aap ye farmate hain hum parda-nashin hain
aankhon hi ka parda hai magar duri hai kitni
hum KHak-nashin ho gae wo a'rsh-nashin hain
chaTa karen aflak ke taron ko farishte
wo malik-e-kaunain hain jo KHak-nashin hain
ye jalwa-e-didar ne behosh kiya hai
mahfil mein teri yun hain ki mahfil mein nahin hain
haq to ye hai achchhon se jahan ho gaya KHali
duniya mein ab allah ke bande bhi nahin hain
dekha teri aankhon ko to khoe gae aise
ab tak na pata is ka laga hum bhi kahin hain
dekhe bhi koi ghaur se aanKHen bhi hon 'akbar'
allah to KHud kahta hai hum tujh se qarin hain
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 74)
- Author : Sha Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.