akbar ka pata kuchh nahin milta wo kahan hai
akbar kā pata kuchh nahīñ miltā vo kahāñ hai
āshiq huā jis rose se benām-o-nishāñ hai
allāh hī kināre se lagā.e to lagā.e
kashtī mirī dariyā-e-mohabbat meñ ravāñ hai
khīñchā hameñ jab ḳhāk-e-lahad ne to ye samjhe
vo ghar to kirā.e kā thā apnā ye makāñ hai
turbat mere ustād kī phūloñ se bharī rakh
ai bār-e-ḳhudā tū chaman-ārā-e-jahāñ hai
sunte haiñ ġhazal paḌhne ko 'akbar' bhī hai aayā
jo us se ho vāqif hameñ batlā de kahāñ hai
akbar ka pata kuchh nahin milta wo kahan hai
aashiq hua jis rose se benam-o-nishan hai
allah hi kinare se lagae to lagae
kashti meri dariya-e-mohabbat mein rawan hai
khincha hamein jab KHak-e-lahad ne to ye samjhe
wo ghar to kirae ka tha apna ye makan hai
turbat mere ustad ki phulon se bhari rakh
ai bar-e-KHuda tu chaman-ara-e-jahan hai
sunte hain ghazal paDhne ko 'akbar' bhi hai aaya
jo us se ho waqif hamein batla de kahan hai
- Book : Tajalliyat-e-Ishque (Pg. 296)
- Author : Sha Akbar Danapuri
- Publication : shaukat Shahjahani, Aagra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.