Sufinama

kisi par phir ye dil aaya hua hai

Shah Akbar Danapuri

kisi par phir ye dil aaya hua hai

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    kisī par phir ye dil aayā huā hai

    mere qaabū se ab niklā huā hai

    tirī zulfoñ meñ dil uljhā huā hai

    balā ke pech meñ aayā huā hai

    safā.ī hai tire aariz aisī

    ki ā.īna ko bhī saktā huā hai

    butoñ par rahtī hai maa.il hamesha

    tabī.at ko ḳhudāyā kyā huā hai

    chale duniyā se jis yaad meñ ham

    ġhazab hai vo hameñ bhūlā huā hai

    vafā ho jafā donoñ se ḳhush haiñ

    kareñ kyā ab to dil aayā huā hai

    habāb us banegā charkH-e-akHzar

    yahī qatra to ab dariyā huā hai

    ġhazab hai terā bholā-pan mirī jaañ

    usī ik jahāñ maarā huā hai

    sabā phir gesuoñ se tere uljhī

    bahār aa.ī use saudā huā hai

    chalā zāhid pe fasl-e-gul jaadū

    mirā yaar āj-kal bahkā huā hai

    kamī karne lage aañsū hamāre

    ye dariyā ab bahut utrā huā hai

    phir us kūcha jānib le chalā dil

    nahīñ ma.alūm us ko kyā huā hai

    pareshān rahte ho din raat 'akbar'

    ye kis zulf saudā huā hai

    kisi par phir ye dil aaya hua hai

    mere qabu se ab nikla hua hai

    teri zulfon mein dil uljha hua hai

    bala ke pech mein aaya hua hai

    safai hai tere aariz ki aisi

    ki aaina ko bhi sakta hua hai

    buton par rahti hai mail hamesha

    tabiat ko KHudaya kya hua hai

    chale duniya se jis ki yaad mein hum

    ghazab hai wo hamein bhula hua hai

    wafa ho ya jafa donon se KHush hain

    karen kya ab to dil aaya hua hai

    habab us ka banega charkH-e-akHzar

    yahi qatra to ab dariya hua hai

    ghazab hai tera bhola-pan meri jaan

    usi ka ek jahan mara hua hai

    saba phir gesuon se tere uljhi

    bahaar aai use sauda hua hai

    chala zahid pe fasl-e-gul ka jadu

    mera yar aaj-kal bahka hua hai

    kami karne lage aansu hamare

    ye dariya ab bahut utra hua hai

    phir us kucha ki jaanib le chala dil

    nahin malum us ko kya hua hai

    pareshan rahte ho din raat 'akbar'

    ye kis ki zulf ka sauda hua hai

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 378)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now