Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wo aankhon mein surma diya chahta hai

Shah Akbar Danapuri

wo aankhon mein surma diya chahta hai

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    vo āñkhoñ meñ surma diyā chāhtā hai

    koī fitna barpā huā chāhtā hai

    naqāb us ke ruḳh se uThā chāhtā hai

    safā.ī uqda khulā chāhtā hai

    vajūd us sābit huā chāhtā hai

    mirā naqsh-e-hastī miTā chāhtā hai

    vo be-parda mujh se milā chāhtā hai

    hijāb-e-duī ab uThā chāhtā hai

    chhiḌā qissa-e-hijr phir vasl shab

    mere un ke jhagḌā huā chāhtā hai

    ajal jald aa terā ehsān hogā

    vo bālīñ se merī uThā chāhtā hai

    na pūchh ai sanam haal ḳhvāhish us

    ḳhudā jaane dil tujh se kyā chāhtā hai

    chalī hai sabā nik.hat-e-zulf lekar

    chaman meñ koī gul khilā chāhtā hai

    bane ghar mirā kyuuñ na firdaus 'akbar'

    vo gul aakar us meñ basā chāhtā hai

    wo aankhon mein surma diya chahta hai

    koi fitna barpa hua chahta hai

    naqab us ke ruKH se uTha chahta hai

    safai ka uqda khula chahta hai

    wajud us ka sabit hua chahta hai

    mera naqsh-e-hasti miTa chahta hai

    wo be-parda mujh se mila chahta hai

    hijab-e-dui ab uTha chahta hai

    chhiDa qissa-e-hijr phir wasl ki shab

    mere un ke jhagDa hua chahta hai

    ajal jald aa tera ehsan hoga

    wo baalin se meri uTha chahta hai

    na puchh ai sanam haal KHwahish ka us ki

    KHuda jaane dil tujh se kya chahta hai

    chali hai saba nikhat-e-zulf lekar

    chaman mein koi gul khila chahta hai

    bane ghar mera kyun na firdaus 'akbar'

    wo gul aakar us mein basa chahta hai

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 376)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani Press, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now