Sufinama

sarsari bhi hai kargar bhi hai

Shah Akbar Danapuri

sarsari bhi hai kargar bhi hai

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    sarsarī bhī hai kārgar bhī hai

    ye kaTārī bhī hai nazar bhī hai

    kise taakā kise kyā bismil

    au kamāñ-dār kuchh ḳhabar bhī hai

    kaun kahtā hai gul nahīñ sunte

    aah bulbul meñ kuchh asar bhī hai

    go mirī dāstāñ hai tuul bahut

    tum suno to ye muḳhtasar bhī hai

    majma.ul-barzakHain hai insān

    ye farishta bhī hai bashar bhī hai

    nazar hai jo pasand aa.e tumheñ

    dil bhī maujūd hai jigar bhī hai

    vaar terī nigah roke kaun

    kahīñ is teġh sipar bhī hai

    ye bhī ḳhidmat meñ sar buland rahe

    ā.īna-dār ik qamar bhī hai

    un ke va.adoñ kuchh yaqīn nahīñ

    guftugū meñ agar magar bhī hai

    ġhair ne teġh par galā na dharā

    koī merā be-jigar bhī hai

    uTho 'akbar' chalo madīne ko

    is se behtar koī safar bhī hai

    sarsari bhi hai kargar bhi hai

    ye kaTari bhi hai nazar bhi hai

    kise taka kise kya bismil

    au kaman-dar kuchh KHabar bhi hai

    kaun kahta hai gul nahin sunte

    aah bulbul mein kuchh asar bhi hai

    go meri dastan hai tul bahut

    tum suno to ye muKHtasar bhi hai

    majmaul-barzakHain hai insan

    ye farishta bhi hai bashar bhi hai

    nazar hai jo pasand aae tumhein

    dil bhi maujud hai jigar bhi hai

    war teri nigah ka roke kaun

    kahin is tegh ki sipar bhi hai

    ye bhi KHidmat mein sar buland rahe

    aaina-dar ek qamar bhi hai

    un ke wadon ka kuchh yaqin nahin

    guftugu mein agar magar bhi hai

    ghair ne tegh par gala na dhara

    koi mera sa be-jigar bhi hai

    uTho 'akbar' chalo madine ko

    is se behtar koi safar bhi hai

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 314)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now