chain milta nahin ab charKH-e-barin ke niche
chain miltā nahīñ ab charḳh-e-barīñ ke nīche
kyā kareñ jaate haiñ basne ko zamīñ ke nīche
vahī ārām se haiñ charḳh-e-barīñ ke nīche
paañv phailā.e jo sote haiñ zamīñ ke nīche
ek se ek parī-zād paḌā sotā hai
ik paristān nazar aatā hai zamīñ ke nīche
dekh kar terī jabīñ ham ne jo abrū dekhī
do hilāl aa.e nazar māh-e-mubīñ ke nīche
sarv-e-qad hai koī gul-rū to koī lāla-'izār
hai hasīnoñ kā chaman charḳh-e-barīñ ke nīche
jīte-jī to hameñ rāhat nahīñ dene kā falak
chain pā.eñge magar mar ke zamīñ ke nīche
kar diyā shor-e-qiyāmat ne yahāñ bhī bedār
samjhe the so.eñge jī bhar ke zamīñ ke nīche
aarzū hashr meñ 'akbar' hai mirī āñkhoñ kī
farsh hoñ ye qadam-e-sarvar-e-dīñ ke nīche
chain milta nahin ab charKH-e-barin ke niche
kya karen jate hain basne ko zamin ke niche
wahi aaram se hain charKH-e-barin ke niche
panw phailae jo sote hain zamin ke niche
ek se ek pari-zad paDa sota hai
ek paristan nazar aata hai zamin ke niche
dekh kar teri jabin hum ne jo abru dekhi
do hilal aae nazar mah-e-mubin ke niche
sarw-e-qad hai koi gul-ru to koi lala-'izar
hai hasinon ka chaman charKH-e-barin ke niche
jite-ji to hamein rahat nahin dene ka falak
chain paenge magar mar ke zamin ke niche
kar diya shor-e-qiyamat ne yahan bhi bedar
samjhe the soenge ji bhar ke zamin ke niche
aarzu hashr mein 'akbar' hai meri aankhon ki
farsh hon ye qadam-e-sarwar-e-din ke niche
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 312)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaokat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.