kyun un mein nazar ban ke samaya nahin jata
kyuuñ un meñ nazar ban ke samāyā nahīñ jaatā
tum nuur ho aur āñkhoñ meñ aayā nahīñ jaatā
ġhairoñ se to kyā dard-e-mohabbat kā bayāñ ho
ye haal to apnoñ ko sunāyā nahīñ jaatā
sūrat-gar-e-avval ne kahā dekh kar us ko
is husn kā insān banāyā nahīñ jaatā
allāh re bīmār-e-mohabbat kā tire zo.af
ab hosh meñ bhī aap se aayā nahīñ jaatā
koī mire sahrā meñ qadam rakh nahīñ saktā
majnūñ se bhī is dasht meñ aayā nahīñ jaatā
dāmān-e-kafan chehre pe yuuñ Daal liyā hai
muñh yāroñ ko is vaqt dikhāyā nahīñ jaatā
ruḳhsār jo haiñ surḳh to ruḳh par hai pasīna
rañgat kā bhī bojh un se uThāyā nahīñ jaatā
ab bhī shab-e-va.ada kī tarah uzr-e-hinā hai
ham marte haiñ aur aap se aayā nahīñ jaatā
dam toḌtā huuñ maiñ tumheñ jaane kī paḌī hai
is vaqt to ye naaz uThāyā nahīñ jaatā
but ban ga.e ham chal gayā jaadū ye butoñ kā
but-ḳhāna se ab ka.aba ko jaayā nahīñ jaatā
'akbar' chalo sar ḳhanjar-e-qātil pe chaḌhā deñ
ab zo.af se ye baar uThāyā nahīñ jaatā
kyun un mein nazar ban ke samaya nahin jata
tum nur ho aur aankhon mein aaya nahin jata
ghairon se to kya dard-e-mohabbat ka bayan ho
ye haal to apnon ko sunaya nahin jata
surat-gar-e-awwal ne kaha dekh kar us ko
is husn ka insan banaya nahin jata
allah re bimar-e-mohabbat ka tere zoaf
ab hosh mein bhi aap se aaya nahin jata
koi mere sahra mein qadam rakh nahin sakta
majnun se bhi is dasht mein aaya nahin jata
daman-e-kafan chehre pe yun Dal liya hai
munh yaron ko is waqt dikhaya nahin jata
ruKHsar jo hain surKH to ruKH par hai pasina
rangat ka bhi bojh un se uThaya nahin jata
ab bhi shab-e-wada ki tarah uzr-e-hina hai
hum marte hain aur aap se aaya nahin jata
dam toDta hun main tumhein jaane ki paDi hai
is waqt to ye naz uThaya nahin jata
but ban gae hum chal gaya jadu ye buton ka
but-KHana se ab kaba ko jaya nahin jata
'akbar' chalo sar KHanjar-e-qatil pe chaDha den
ab zoaf se ye bar uThaya nahin jata
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 79)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.