justuju jis ki ho us shai ka pata milta hai
justujū jis kī ho us shai kā patā miltā hai
hai masal sach ki jo DhūñDhe to ḳhudā miltā hai
ḳhizr bhī aa.eñ to kho jaa.eñ rah-e-ulfat meñ
kūcha-e-ishq kī rāhoñ kā patā miltā hai
tañgī-e-rizq kī nā-haq hai shikāyat ai dil
hai jo kuchh apne muqaddar kā likhā miltā hai
hai talāsh us kī jo ai dil to faqīroñ meñ dekh
sūratoñ meñ unhīñ logoñ kī ḳhudā miltā hai
shaiḳh ka.abe ko chalā hai to barahman sū-e-dair
dekhnā to hai kise us kā patā miltā hai
kHāna-barbādī-e-ushshāq se kyā haath aayā
zulm se un sitam-ījādoñ ko kyā miltā hai
kam hai mujh sā bhī sahīhunnasb 'akbar' koī
silsila apnā kisī zulf se jā miltā hai
justuju jis ki ho us shai ka pata milta hai
hai masal sach ki jo DhunDhe to KHuda milta hai
KHizr bhi aaen to kho jaen rah-e-ulfat mein
kucha-e-ishq ki rahon ka pata milta hai
tangi-e-rizq ki na-haq hai shikayat ai dil
hai jo kuchh apne muqaddar ka likha milta hai
hai talash us ki jo ai dil to faqiron mein dekh
suraton mein unhin logon ki KHuda milta hai
shaiKH kabe ko chala hai to barahman su-e-dair
dekhna to hai kise us ka pata milta hai
kHana-barbaadi-e-ushshaq se kya hath aaya
zulm se un sitam-ijadon ko kya milta hai
kam hai mujh sa bhi sahihunnasb 'akbar' koi
silsila apna kisi zulf se ja milta hai
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 363)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.