au aafat-e-jaan teri nazar aur hi kuchh hai
au āfat-e-jāñ terī nazar aur hī kuchh hai
in tirchhī nigāhoñ kā asar aur hī kuchh hai
ye qalb jo aatā hai nazar aur hī kuchh hai
dil jis se ġharaz hai vo magar aur hī kuchh hai
zāhir meñ to ye ḳhāk-basar aur hī kuchh hai
insān haqīqat meñ magar aur hī kuchh hai
badnām kiyā sohbat-e-aġhyār ne āḳhir
ab aap kī logoñ meñ ḳhabar aur hī kuchh hai
aaj aap kī haiñ aur hī jānib ko nigāheñ
ham dekh rahe haiñ ye nazar aur hī kuchh hai
ka.abe ke bhī dar par ragaḌ aa.e haiñ jabīñ ham
us qibla-e-qaunain kā dar aur hī kuchh hai
marnā bhī koī shai hai jo ḳhauf us se kareñ ham
haañ ai shab-e-furqat tirā Dar aur hī kuchh hai
aane se tumhārī huī raunaq mere ghar kī
dīvāreñ haiñ kuchh aur to dar aur hī kuchh hai
jis din se gale meñ hai tire motiyoñ kā haar
us roz se bāzār-e-guhar aur hī kuchh hai
paidā huā insān to kuchh aur hī shai thā
ab hālat-e-hañgām-e-safar aur hī kuchh hai
aaj aate haiñ vo aap ke ghar kī taraf 'akbar'
kuchh tum ko ḳhabar bhī hai ḳhabar aur hī kuchh hai
au aafat-e-jaan teri nazar aur hi kuchh hai
in tirchhi nigahon ka asar aur hi kuchh hai
ye qalb jo aata hai nazar aur hi kuchh hai
dil jis se gharaz hai wo magar aur hi kuchh hai
zahir mein to ye KHak-basar aur hi kuchh hai
insan haqiqat mein magar aur hi kuchh hai
badnam kiya sohbat-e-aghyar ne aaKHir
ab aap ki logon mein KHabar aur hi kuchh hai
aaj aap ki hain aur hi jaanib ko nigahen
hum dekh rahe hain ye nazar aur hi kuchh hai
kabe ke bhi dar par ragaD aae hain jabin hum
us qibla-e-qaunain ka dar aur hi kuchh hai
marna bhi koi shai hai jo KHauf us se karen hum
han ai shab-e-furqat tera Dar aur hi kuchh hai
aane se tumhaari hui raunaq mere ghar ki
diwaren hain kuchh aur to dar aur hi kuchh hai
jis din se gale mein hai tere motiyon ka haar
us roz se bazar-e-guhar aur hi kuchh hai
paida hua insan to kuchh aur hi shai tha
ab haalat-e-hangam-e-safar aur hi kuchh hai
aaj aate hain wo aap ke ghar ki taraf 'akbar'
kuchh tum ko KHabar bhi hai KHabar aur hi kuchh hai
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 291)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.