Sufinama

phiri hai nazar humse jaani tumhaari

Shah Akbar Danapuri

phiri hai nazar humse jaani tumhaari

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    phirī hai nazar ham se jaanī tumhārī

    raqīboñ pe hai mehrbānī tumhārī

    falak ko bhī bhūlī huiiñ haiñ jafā.eñ

    sitam kar rahī hai javānī tumhārī

    hai bahzād ḳhud ek hairat putlā

    khiñche kis se tasvīr jaanī tumhārī

    ba-rañg-e-hinā piis Daalā hai ham ko

    ġhazab hai ye uThtī javānī tumhārī

    na badleñge mohr-e-sulaimāñ se is ko

    ye chhallā hai ai jaañ nishānī tumhārī

    mere saf.ha-e-dil pe jo khiñch ga.ī hai

    vo tasvīr hai ek jaanī tumhārī

    sitam pīr-e-gardūñ ke kis se uTheñge

    salāmat rahe ye javānī tumhārī

    uḌā le ga.ī dil ko pahlū se mere

    adāvat huī mehmānī tumhārī

    hasīnoñ ko karte ho tasḳhīr 'akbar'

    hai e.ajāz-e-jādū-bayānī tumhārī

    phiri hai nazar hum se jaani tumhaari

    raqibon pe hai mehrbani tumhaari

    falak ko bhi bhuli huin hain jafaen

    sitam kar rahi hai jawani tumhaari

    hai bahzad KHud ek hairat ka putla

    khinche kis se taswir jaani tumhaari

    ba-rang-e-hina pis Dala hai hum ko

    ghazab hai ye uThti jawani tumhaari

    na badlenge mohr-e-sulaiman se is ko

    ye chhalla hai ai jaan nishani tumhaari

    mere safha-e-dil pe jo khinch gai hai

    wo taswir hai ek jaani tumhaari

    sitam pir-e-gardun ke kis se uThenge

    salamat rahe ye jawani tumhaari

    uDa le gai dil ko pahlu se mere

    adawat hui mehmani tumhaari

    hasinon ko karte ho tasKHir 'akbar'

    hai eajaz-e-jadu-bayani tumhaari

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 280)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now