apni taswir har ek dil mein laga rakhi hai
apnī tasvīr har ik dil meñ lagā rakhī hai
un butoñ ne to baḌī baat banā rakhī hai
mere nāloñ ne ajab dhuum machā rakhī hai
charḳh kī tarah zamīñ sar par uThā rakhī hai
maiñ bahut ḳhush huuñ vo miTTī mirī barbād kareñ
maiñ ne ḳhaak apnī usī din ko uThā rakhī hai
jhāñk kar dekhegā vo rashk-e-parī khiḌkī se
shakl dīvānoñ kī yuuñ ham ne banā rakhī hai
jab ḳhayāl aayā bas ik baar lagā dil khiñchne
kyā kahūñ aap ne kyā laag lagā rakhī hai
hukm jis vaqt ho hāzir maiñ karūñ jān-e-azīz
ye amānat yūñhī ai mere ḳhudā rakhī hai
aah ke saath hī fariyād bhī pahuñchegī vahāñ
nardbān ham ne falak par ye lagā rakhī hai
ye kisī roz dikhā.egī zarūr apnā asar
ham ne kaifiyat-e-dil un ko sunā rakhī hai
paḌh sakeñ ham to har ik barg hai tārīḳh-e-chaman
likhne vaale ne koī baat uThā rakhī hai
hameñ ma.alūm hai har ghaḌī meñ hai jo ġhunche kī
khol kar dekh lo us gul kī qabā rakhī hai
mere ghar meñ use allāh hamesha rakhe
naam merī shab-e-vaslat kā ḳhudā rakhī hai
but-parastī jo nahīñ hai to ye kyā hai 'akbar'
tum ne tasvīr-e-sanam dil meñ chhupā rakhī hai
apni taswir har ek dil mein laga rakhi hai
un buton ne to baDi baat bana rakhi hai
mere nalon ne ajab dhum macha rakhi hai
charKH ki tarah zamin sar par uTha rakhi hai
main bahut KHush hun wo miTTi meri barbaad karen
main ne KHak apni usi din ko uTha rakhi hai
jhank kar dekhega wo rashk-e-pari khiDki se
shakl diwanon ki yun hum ne bana rakhi hai
jab KHayal aaya bas ek bar laga dil khinchne
kya kahun aap ne kya lag laga rakhi hai
hukm jis waqt ho hazir main karun jaan-e-aziz
ye amanat yunhi ai mere KHuda rakhi hai
aah ke sath hi fariyaad bhi pahunchegi wahan
nardban hum ne falak par ye laga rakhi hai
ye kisi roz dikhaegi zarur apna asar
hum ne kaifiyat-e-dil un ko suna rakhi hai
paDh saken hum to har ek barg hai tariKH-e-chaman
likhne wale ne koi baat uTha rakhi hai
hamein malum hai har ghaDi mein hai jo ghunche ki
khol kar dekh lo us gul ki qaba rakhi hai
mere ghar mein use allah hamesha rakhe
nam meri shab-e-waslat ka KHuda rakhi hai
but-parasti jo nahin hai to ye kya hai 'akbar'
tum ne taswir-e-sanam dil mein chhupa rakhi hai
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 281)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.