Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

apni hasti ko hum miTate hain

Shah Akbar Danapuri

apni hasti ko hum miTate hain

Shah Akbar Danapuri

apnī hastī ko ham miTāte haiñ

yuuñ pata yaar lagāte haiñ

phir unheñ ham manā.e laate haiñ

baat bigḌī huī banāte haiñ

sahar-e-vasl hai vo jaate haiñ

ab qazā ke payām aate haiñ

hai pasand un ko merī ḳhalvat-e-dil

māshā-allāh aate jaate haiñ

dard hai naam dard-e-ulfat

choT vo hai jo dil pe khāte haiñ

kahte haiñ aa ke na.ash par vo merī

kis qadar niiñd ke ye maate haiñ

aap jaane zikr ab na kareñ

mutavātir mujhe ġhash aate haiñ

sham.a par haiñ nisār parvāne

jale jaate haiñ lipTe jaate haiñ

ai shab-e-hijr terī umr darāz

kyuuñ sitāre ye jhilmilāte haiñ

sham.a kyuuñ ho ga.ī hai be-raunaq

kyuuñ ye parvāne chalte jaate haiñ

ho gayā dil bhī un jānib-dār

haath ab us se ham uThāte haiñ

kū-e-ulfat meñ rāhbar dil hai

pīchhe 'akbar' ham us ke jaate haiñ

apni hasti ko hum miTate hain

yun pata yar ka lagate hain

phir unhen hum manae late hain

baat bigDi hui banate hain

sahar-e-wasl hai wo jate hain

ab qaza ke payam aate hain

hai pasand un ko meri KHalwat-e-dil

masha-allah aate jate hain

dard hai nam dard-e-ulfat ka

choT wo hai jo dil pe khate hain

kahte hain aa ke nash par wo meri

kis qadar nind ke ye mate hain

aap jaane ka zikr ab na karen

mutawatir mujhe ghash aate hain

shama par hain nisar parwane

jale jate hain lipTe jate hain

ai shab-e-hijr teri umr daraaz

kyun sitare ye jhilmilate hain

shama kyun ho gai hai be-raunaq

kyun ye parwane chalte jate hain

ho gaya dil bhi un ka jaanib-dar

hath ab us se hum uThate hain

ku-e-ulfat mein rahbar dil hai

pichhe 'akbar' hum us ke jate hain

Source :
  • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 195)
  • Author :Shah Akbar Danapuri
  • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now