Sufinama

aanKHen dekhin nahin tumne kisi mastane ki

Shah Akbar Danapuri

aanKHen dekhin nahin tumne kisi mastane ki

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    āñḳheñ dekhīñ nahīñ tum ne kisī mastāne

    vā.izo qadr ho kyuuñ kar tumheñ paimāne

    vahshateñ baḌh ga.iiñ phir aap ke dīvāne

    us pe kyā guzrī jo dhun bañdh ga.ī vīrāne

    qais rakhe qadam us meñ to jigar paanī ho

    qaaf choTī hai pastī mere vīrāne

    vaa.iz aa jaa.eñ abhī bāda-e-athar ke maze

    tujhe lag jaa.e havā gar mere mai-ḳhāne

    sham-e-mīnā havā sham-e-haram par dhokā

    lau lagī hai mujhe ka.abe meñ bhī but-ḳhāne

    us saaya paḌā to zāhid bahak jāoge

    duur duur aao ye dīvār hai mai-ḳhāne

    bazm-ārāsta maujūd hai mai hāzir jaam

    ai hasīñ der agar hai to tire aane

    bulbuleñ chahchahe kartī haiñ chaman meñ 'akbar'

    hai ḳhabar aaj gulistāñ meñ bahār aane

    aanKHen dekhin nahin tum ne kisi mastane ki

    waizo qadr ho kyun kar tumhein paimane ki

    wahshaten baDh gain phir aap ke diwane ki

    us pe kya guzri jo dhun bandh gai virane ki

    qais rakhe qadam us mein to jigar pani ho

    qaf ki choTi hai pasti mere virane ki

    waiz aa jaen abhi baada-e-athar ke maze

    tujhe lag jae hawa gar mere mai-KHane ki

    sham-e-mina ka hawa sham-e-haram par dhoka

    lau lagi hai mujhe kabe mein bhi but-KHane ki

    us ka saya paDa to zahid bahak jaoge

    dur dur aao ye diwar hai mai-KHane ki

    bazm-arasta maujud hai mai hazir jam

    ai hasin der agar hai to tere aane ki

    bulbulen chahchahe karti hain chaman mein 'akbar'

    hai KHabar aaj gulistan mein bahaar aane ki

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 279)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now