sultan-e-malik-e-dil hai yahan ka jo shah hai
sultan-e-malik-e-dil hai yahan ka jo shah hai
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
sultān-e-malik-e-dil hai yahāñ kā jo shaah hai
ye bārgāh-e-ishq ajab bārgāh hai
ye zau na mehar kī na ye nūr-e-māh hai
terā jamāl hai ye tirī jalva-gāh hai
ai dil payām-e-maut pe tirchhī nigāh hai
is tiir kā bachāv nahīñ be-panāh hai
merā dil-e-shikasta tirī sair-gāh hai
be-shak gadā-navāz tu ai bādshāh hai
hai āstān-e-pāk-e-nabī arsh kā bhī arsh
donoñ jahān meñ yahi ik bārgāh hai
rahmat ke vāste bhī to kuchh nazr chāhiye
ai āsiyo gunāh se bachnā gunāh hai
kahiye to band karle koī aañkh kis tarah
kyā dekhnā bhī aap kī jānib gunāh hai
saaqī hai josh rahmat-e-haq ko pilā.e jā
ab vo gunāh-gār hai jo be-gunāh hai
dekho to aakar is dil-e-pur-dāġh kī bahār
tum bhī kahoge haañ ye koī sair-gāh hai
apne ḳhayāl meñ ye vahīñ jā rahe haiñ sab
jo mil gayā hameñ to vahī ḳhizr-e-rāh hai
rasta adam ke qāfile bhūle nahīñ kabhī
sīdhe vahīñ pahuñchte haiñ kyā ḳhuub raah hai
hai ḳhizr ko bhī us meñ talāsh ek ḳhizr kī
kyā haul-nāk vādī-e-ulfat kī raah hai
'akbar' ke ghar kā aap nishāñ pūchhte haiñ kyā
is be-navā faqīr kī vo ḳhānqāh hai
sultan-e-malik-e-dil hai yahan ka jo shah hai
ye bargah-e-ishq ajab bargah hai
ye zau na mehar ki na ye nur-e-mah hai
tera jamal hai ye teri jalwa-gah hai
ai dil payam-e-maut pe tirchhi nigah hai
is tir ka bachaw nahin be-panah hai
mera dil-e-shikasta teri sair-gah hai
be-shak gada-nawaz tu ai baadshah hai
hai aastan-e-pak-e-nabi arsh ka bhi arsh
donon jahan mein yahi ek bargah hai
rahmat ke waste bhi to kuchh nazr chahiye
ai aasiyo gunah se bachna gunah hai
kahiye to band karle koi aankh kis tarah
kya dekhna bhi aap ki jaanib gunah hai
saqi hai josh rahmat-e-haq ko pilae ja
ab wo gunah-gar hai jo be-gunah hai
dekho to aakar is dil-e-pur-dagh ki bahaar
tum bhi kahoge han ye koi sair-gah hai
apne KHayal mein ye wahin ja rahe hain sab
jo mil gaya hamein to wahi KHizr-e-rah hai
rasta adam ke qafile bhule nahin kabhi
sidhe wahin pahunchte hain kya KHub rah hai
hai KHizr ko bhi us mein talash ek KHizr ki
kya haul-nak wadi-e-ulfat ki rah hai
'akbar' ke ghar ka aap nishan puchhte hain kya
is be-nawa faqir ki wo KHanqah hai
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 310)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.