Sufinama

aaj be-tab wo rashk-e-gul-e-tar kitna hai

Shah Akbar Danapuri

aaj be-tab wo rashk-e-gul-e-tar kitna hai

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    aaj be-tāb vo rashk-e-gul-e-tar kitnā hai

    merī aahoñ meñ ḳhudā jaane asar kitnā hai

    tum jo farmāte ho dil ko mere chhoTā makāñ

    aao ḳhud dekh lo vus.at meñ ye ghar kitnā hai

    hamsarī qad-e-dildār hai sarv ko shauq

    ai sabā dekh to mauzūñ ye shajar kitnā hai

    haath aa.ī hai tirī halqa-ba-goshī jo use

    shor dariyā meñ hai e.azāz-e-guhar kitnā hai

    rose kar aatā hai do-chār ko kar tah-e-ḳhāk

    bāvajūd is ke bhī ġhāfil ye bashar kitnā hai

    de bhī Daalo kahīñ dil yaar ko tum ai 'akbar'

    ḳhair agar us meñ zarar hai to zarar kitnā hai

    aaj be-tab wo rashk-e-gul-e-tar kitna hai

    meri aahon mein KHuda jaane asar kitna hai

    tum jo farmate ho dil ko mere chhoTa sa makan

    aao KHud dekh lo wusat mein ye ghar kitna hai

    hamsari ka qad-e-dildar ki hai sarw ko shauq

    ai saba dekh to mauzun ye shajar kitna hai

    hath aai hai teri halqa-ba-goshi jo use

    shor dariya mein hai eazaz-e-guhar kitna hai

    rose kar aata hai do-chaar ko ja kar tah-e-KHak

    bawajud is ke bhi ghafil ye bashar kitna hai

    de bhi Dalo kahin dil yar ko tum ai 'akbar'

    KHair agar us mein zarar hai to zarar kitna hai

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 316)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now