Sufinama

ruh ka pa turab hota hai

Shah Akbar Danapuri

ruh ka pa turab hota hai

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ruuh turāb hotā hai

    kHāna-e-tan ḳharāb hotā hai

    jab vo mah be-naqāb hotā hai

    abr meñ āftāb hotā hai

    josh par jab shabāb hotā hai

    aur kuchh hisāb hotā hai

    dekhiye ai charḳh-e-pīr us mah ko

    aisā husn-e-shabāb hotā hai

    jo bigaḌtā hai vo banegā zarūr

    jo banā vo ḳharāb hotā hai

    vo ga.e mere ghar se ġhair ke ghar

    ye bhī kiyā inqalāb hotā hai

    qabr meñ rakh ke chal diye ahbāb

    yaañ savāl-o-javāb hotā hai

    dekhte haiñ vo apnā chāñd-sā muñh

    ā.īna āb-āb hotā hai

    jahāñ ai gul terā pasīna girā

    vahīñ paidā gulāb hotā hai

    donoñ a.alam meñ jo rahā nākām

    ishq meñ kāmyāb hotā hai

    apnī had se jo baḌh chalā 'akbar'

    aisā insāñ ḳharāb hotā hai

    ruh ka pa turab hota hai

    kHana-e-tan KHarab hota hai

    jab wo mah be-naqab hota hai

    abr mein aaftab hota hai

    josh par jab shabab hota hai

    aur hi kuchh hisab hota hai

    dekhiye ai charKH-e-pir us mah ko

    aisa husn-e-shabab hota hai

    jo bigaDta hai wo banega zarur

    jo bana wo KHarab hota hai

    wo gae mere ghar se ghair ke ghar

    ye bhi kiya inqalab hota hai

    qabr mein rakh ke chal diye ahbab

    yan sawal-o-jawab hota hai

    dekhte hain wo apna chand-sa munh

    aaina aab-ab hota hai

    jahan ai gul tera pasina gira

    wahin paida gulab hota hai

    donon aalam mein jo raha nakaam

    ishq mein kaamyab hota hai

    apni had se jo baDh chala 'akbar'

    aisa insan KHarab hota hai

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 347)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now