samne aap ke koi kya hai
sāmne aap ke koī kyā hai
huur kyā chiiz hai parī kyā hai
har ghaḌī shor-e-yā-alī kyā hai
hai ye āġhāz ishq abhī kiyā hai
arsh kī sair dam meñ kar aayā
nahīñ khultā ye aadmī kyā hai
mard agar hai to aa.e maidāñ meñ
dekhtā ham ko mudda.ī kyā hai
sunñe vāloñ ko jo na taḌpāve
aisī be-maġhz shā.erī kyā hai
sab usī kā hai hai yahi sab kuchh
kyā kahūñ tum se aadmī kyā hai
ishq kar ke kisī se dekh leñ aap
kyā batā.ūñ maiñ āshiqī kyā hai
mere bālīñ par aa.eñ vo dam-e-marg
is se baḌh kar mujhe ḳhushī kyā hai
chhīn kar le ga.e haiñ dil merā
jaan māran hai dil lagī kyā hai
kam na thā miir se ye ai 'akbar'
kyā kahūñ she'r-e-mushafī kyā hai
samne aap ke koi kya hai
hur kya chiz hai pari kya hai
har ghaDi shor-e-ya-ali kya hai
hai ye aaghaz ishq abhi kiya hai
arsh ki sair dam mein kar aaya
nahin khulta ye aadmi kya hai
mard agar hai to aae maidan mein
dekhta hum ko muddai kya hai
sunne walon ko jo na taDpawe
aisi be-maghz shaeri kya hai
sab usi ka hai hai yahi sab kuchh
kya kahun tum se aadmi kya hai
ishq kar ke kisi se dekh len aap
kya bataun main aashiqi kya hai
mere baalin par aaen wo dam-e-marg
is se baDh kar mujhe KHushi kya hai
chhin kar le gae hain dil mera
jaan maran hai dil lagi kya hai
kam na tha mir se ye ai 'akbar'
kya kahun she'r-e-mushafi kya hai
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 348)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.