is ka shikwa nahin tum se agar aaya na gaya
is kā shikvā nahīñ tum se agar aayā na gayā
is meñ kyā baat thī ham ko jo bulāyā na gayā
dil kisī tarah un āñkhoñ se bachāyā na gayā
dil hamārā hī thā ham se bhī chhupāyā na gayā
un parī-zādoñ ne dīvāna banā rakhā hai
jhaaḌ phūñkā to bahut sar se ye saayā na gayā
rahī be-lutf shab-e-ġham se ziyāda shab-e-vasl
vo kuchh is taur se rūThā ki manāyā na gayā
jāñ-nisāroñ hī se bartāv hai ġhairiyat kā
aap ke dil se kabhī apnā parāyā na gayā
na bhirī merī taraf yaar kī maḳhmūr-nigāh
mujh se bangāla kā jaadū ye jagāyā na gayā
ho ga.ī yūñhīñ sahar vasl kī shab yā qismat
mujh se vo fitna-e-ḳhvābīda jagāyā na gayā
sar-bulandoñ ko jo miTte hue dekhā 'akbar'
aisī ibrat hai ki ab tak sar uThāyā na gayā
is ka shikwa nahin tum se agar aaya na gaya
is mein kya baat thi hum ko jo bulaya na gaya
dil kisi tarah un aankhon se bachaya na gaya
dil hamara hi tha hum se bhi chhupaya na gaya
un pari-zadon ne diwana bana rakha hai
jhaD phunka to bahut sar se ye saya na gaya
rahi be-lutf shab-e-gham se ziyaada shab-e-wasl
wo kuchh is taur se ruTha ki manaya na gaya
jaan-nisaron hi se bartaw hai ghairiyat ka
aap ke dil se kabhi apna paraya na gaya
na bhiri meri taraf yar ki maKHmur-nigah
mujh se bangala ka jadu ye jagaya na gaya
ho gai yunhin sahar wasl ki shab ya qismat
mujh se wo fitna-e-KHwabida jagaya na gaya
sar-bulandon ko jo miTte hue dekha 'akbar'
aisi ibrat hai ki ab tak sar uThaya na gaya
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 29)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.