Sufinama

hum sath lete aae hain taswir-e-yar ko

Shah Akbar Danapuri

hum sath lete aae hain taswir-e-yar ko

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ham saath lete aa.e haiñ tasvīr-e-yār ko

    kyuuñ kar kaheñ na ḳhalvat-e-jānāñ mazār ko

    ye musht-e-ḳhāk ba.ad-e-fanā had se baḌh ga.ī

    kahte haiñ log Dher hamāre mazār ko

    begāna ban kar aa.e haiñ vo fātiha ko bhī

    vāqif haiñ aur pūchh rahe haiñ mazār ko

    rotā hai ye to hañstī hai bilkul zamīn-e-bāġh

    girya ḳhushī aatā hai abr-e-bahār ko

    allāh re tire zulf ke saudā.ī dimāġh

    ḳhūn-e-siyāh kahtā hai mushk-e-tatār ko

    'akbar' tumhāre dar pe hai baiThā Dha.ī diye

    māyūs kījiye na is ummīd-vār ko

    hum sath lete aae hain taswir-e-yar ko

    kyun kar kahen na KHalwat-e-jaanan mazar ko

    ye musht-e-KHak baad-e-fana had se baDh gai

    kahte hain log Dher hamare mazar ko

    begana ban kar aae hain wo fatiha ko bhi

    waqif hain aur puchh rahe hain mazar ko

    rota hai ye to hansti hai bilkul zamin-e-bagh

    girya KHushi ka aata hai abr-e-bahaar ko

    allah re tere zulf ke saudai ka dimagh

    KHun-e-siyah kahta hai mushk-e-tatar ko

    'akbar' tumhaare dar pe hai baiTha Dhai diye

    mayus kijiye na is ummid-war ko

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 230)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now