mile usi se jo ho aadmi Thikane ka
mile usī se jo ho aadmī Thikāne kā
tumheñ ḳhabar nahīñ kyā haal hai zamāne kā
ḳhayāl aap ko ho mere ghar meñ aane kā
kahāñ nasīb ye apne faqīr-ḳhāne kā
jamāl apnā dikhāo hamārā dekho haal
mazā usī meñ hai kuchh dekhne dikhāne kā
ajal Thahar abhī jaldī na kar ḳhudā ke liye
ki intizār hai un ke javāb aane kā
jo aap aa.eñ to ham farsh boriyā bichhvāyeñ
dikhā.eñ tum ko takalluf ġharīb-ḳhāne kā
huzūr aa.e mere ghar kī baḌh ga.ī raunaq
mizāj arsh pe hai ab faqīr-ḳhāne kā
piyā hai tum ne abhī jis meñ sharbat ai zāhid
kahāñ liyā ye hai sāġhar sharāb-ḳhāne kā
chaḌhe hue haiñ bahut in dinoñ raqīb ke sar
janāb man ye natīja hai sar chaḌhāne kā
ye kārgāh-e-jahāñ hai ajab hairat-zā
chalāne vaalā hai kaun aise kār-ḳhāne kā
raqīb kī bhī havā vo nahīñ rahī 'akbar'
bigāḌ ham se muāfiq hai ab zamāne kā
mile usi se jo ho aadmi Thikane ka
tumhein KHabar nahin kya haal hai zamane ka
KHayal aap ko ho mere ghar mein aane ka
kahan nasib ye apne faqir-KHane ka
jamal apna dikhao hamara dekho haal
maza usi mein hai kuchh dekhne dikhane ka
ajal Thahar abhi jaldi na kar KHuda ke liye
ki intizar hai un ke jawab aane ka
jo aap aaen to hum farsh boriya bichhwayen
dikhaen tum ko takalluf gharib-KHane ka
huzur aae mere ghar ki baDh gai raunaq
mizaj arsh pe hai ab faqir-KHane ka
piya hai tum ne abhi jis mein sharbat ai zahid
kahan liya ye hai saghar sharab-KHane ka
chaDhe hue hain bahut in dinon raqib ke sar
janab man ye natija hai sar chaDhane ka
ye kargah-e-jahan hai ajab hairat-za
chalane wala hai kaun aise kar-KHane ka
raqib ki bhi hawa wo nahin rahi 'akbar'
bigaD hum se muafiq hai ab zamane ka
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 32)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.