dil uski yaad se kabhi Khaali raha nahin
dil us kī yaad se kabhī ḳhālī rahā nahīñ
ye ghar vo hai ki jab se basā hai luTā nahīñ
ai jaan maiñ kisī ko bhī pahchāntā nahīñ
tere sivā ḳhayāl meñ koī rahā nahīñ
jitnā taḌapnā thā bismil taḌap chukā
ab ruuh meñ nikalne kā bhī dam rahā nahīñ
jo shai banī jahān meñ vo miT ga.ī zarūr
o be-ḳhabar ġhurūr kisī kā rahā nahīñ
jo kuchh thī shān-e-husn huī aap par tamām
ab to kisī hasīñ ke liye kuchh rahā nahīñ
yuuñ inqilāb-e-dahr ne mujh ko miTā diyā
banñe kā koī juzv bhī baaqī rahā nahīñ
do din kā hai shabāb phir us par ye zor-o-shor
sūraj ko bhī zavāl hai tū ne sunā nahīñ
uftād naam jis kā hai duniyā meñ vo ye hai
jis ko girāyā terī nazar ne uThā nahīñ
maiñ qabr meñ bhī dekhtā huuñ terā rāsta
ye muñh kahīñ bhī terī taraf se phirā nahīñ
baḳhshish ko tere naam kamī bhī nahīñ hai yaad
ab tak to is tarah koī dariyā chaḌhā nahii.
'akbar' hai qasr shah kā jharoka ye dil tirā
kyuuñ roz-o-shab tū is kī taraf dekhtā nahīñ
dil us ki yaad se kabhi KHali raha nahin
ye ghar wo hai ki jab se basa hai luTa nahin
ai jaan main kisi ko bhi pahchanta nahin
tere siwa KHayal mein koi raha nahin
jitna taDapna tha bismil taDap chuka
ab ruh mein nikalne ka bhi dam raha nahin
jo shai bani jahan mein wo miT gai zarur
o be-KHabar ghurur kisi ka raha nahin
jo kuchh thi shan-e-husn hui aap par tamam
ab to kisi hasin ke liye kuchh raha nahin
yun inqilab-e-dahr ne mujh ko miTa diya
banne ka koi juzw bhi baqi raha nahin
do din ka hai shabab phir us par ye zor-o-shor
suraj ko bhi zawal hai tu ne suna nahin
uftad nam jis ka hai duniya mein wo ye hai
jis ko giraya teri nazar ne uTha nahin
main qabr mein bhi dekhta hun tera rasta
ye munh kahin bhi teri taraf se phira nahin
baKHshish ko tere nam kami bhi nahin hai yaad
ab tak to is tarah koi dariya chaDha nahi
'akbar' hai qasr shah ka jharoka ye dil tera
kyun roz-o-shab tu is ki taraf dekhta nahin
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 69)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.