ro kar aankhon ne jo raaz-e-ishq ifsha kar diya
ro kar aankhon ne jo raaz-e-ishq ifsha kar diya
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
ro kar āñkhoñ ne jo rāz-e-ishq ifshā kar diyā
aap bhī ġhārat huiiñ mujh ko bhī rusvā kar diyā
be-mitā.e ab na chhoḌegā use ye āsmāñ
Dher merī ḳhaak kā kyuuñ itnā ūñchā kar diyā
be-niyāzī ishq kā hai intihā.ī martaba
baḌh ke jazb-e-shauq ne majnūñ ko lailā kar diyā
sahr se bhī kaam lete haiñ ye but-e-e.ajāz kā
us ne mujh ko dekh kar āñkhoñ se zinda kar diyā
kyā kahūñ pāzeb kis zālim ne pahnā dī tumheñ
do qadam chal kar jahāñ meñ hashr barpā kar diyā
dekh kar hālat marī ghabrā ke vo ruḳhsat hue
dard-e-dil kambaḳht tū ne uTh ke ye kyā kar diyā
haiñ pasīne ko jo qatre ruḳh par ab a.alam hai aur
husn kī garmī ne us ko chāñd-tārā kar diyā
aa.iye ab sāmne allāh ke dījiye javāb
hashr hai maiñ ne bhī daa.ir apnā da.avā kar diyā
ai shab-e-hijr sanam kitnī hai tujh meñ tīrgī
merī āñkhoñ meñ zamāne ko añdherā kar diyā
fā.eda kyā teġh-e-qātil se rahe nā-haq bhī laag
de diyā sar kaaT kar tai ham ne jhagḌā kar diyā
kījiye ai jaan kuchh to merī vahshat kā ilaaj
dekhiye un āñkhoñ ne kyā haal merā kar diyā
ik nigāh-e-nāz par dil un ke hāthoñ bik gayā
thā bahut mahñgā ye saudā maiñ ne sastā kar diyā
sāne-e-qudrat tire hāthoñ ke qurbāñ vaah vaah
ḳhaak ke putle ko nūrānī sarāpā kar diyā
ro kar aankhon ne jo raaz-e-ishq ifsha kar diya
aap bhi ghaarat huin mujh ko bhi ruswa kar diya
be-mitae ab na chhoDega use ye aasman
Dher meri KHak ka kyun itna uncha kar diya
be-niyazi ishq ka hai intihai martaba
baDh ke jazb-e-shauq ne majnun ko laila kar diya
sahr se bhi kaam lete hain ye but-e-eajaz ka
us ne mujh ko dekh kar aankhon se zinda kar diya
kya kahun pazeb kis zalim ne pahna di tumhein
do qadam chal kar jahan mein hashr barpa kar diya
dekh kar haalat mari ghabra ke wo ruKHsat hue
dard-e-dil kambaKHt tu ne uTh ke ye kya kar diya
hain pasine ko jo qatre ruKH par ab aalam hai aur
husn ki garmi ne us ko chand-tara kar diya
aaiye ab samne allah ke dijiye jawab
hashr hai main ne bhi dair apna dawa kar diya
ai shab-e-hijr sanam kitni hai tujh mein tirgi
meri aankhon mein zamane ko andhera kar diya
faeda kya tegh-e-qatil se rahe na-haq bhi lag
de diya sar kaT kar tai hum ne jhagDa kar diya
kijiye ai jaan kuchh to meri wahshat ka ilaj
dekhiye un aankhon ne kya haal mera kar diya
ek nigah-e-naz par dil un ke hathon bik gaya
tha bahut mahnga ye sauda main ne sasta kar diya
sane-e-qudrat tere hathon ke qurban wah wah
KHak ke putle ko nurani sarapa kar diya
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 81)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.