jis ko dekho hai wahi mahw-e-tamasha tera
jis ko dekho hai vahī mahv-e-tamāsha terā
shaan allāh kī hai chehra-e-zebā terā
aks har ā.īna meñ terā hai to hai vo jamīl
har jamāl aur har andāz hai jalva terā
tuur par aag lagī ho ga.e muusā be-ḳhud
kaisī nairañgiyāñ dikhlā gayā jalva terā
maar Dālegī mujhe terī mohabbat kī nazar
us ke hī haath hai ab faisla merā terā
terī baḳhshī huī be-kār raheñgī āñḳheñ
dekh hī legā tujhe āshiq-e-shaidā terā
mere maulā mere mālik mere pyāre allāh
kyā kahūñ us ke sivā maiñ ki huuñ banda terā
apne 'akbar' ko banā de mere ḳhāliq aisā
sachche dil se vo hamesha rahe banda terā
jis ko dekho hai wahi mahw-e-tamasha tera
shan allah ki hai chehra-e-zeba tera
aks har aaina mein tera hai to hai wo jamil
har jamal aur har andaz hai jalwa tera
tur par aag lagi ho gae musa be-KHud
kaisi nairangiyan dikhla gaya jalwa tera
mar Dalegi mujhe teri mohabbat ki nazar
us ke hi hath hai ab faisla mera tera
teri baKHshi hui be-kar rahengi aanKHen
dekh hi lega tujhe aashiq-e-shaida tera
mere maula mere malik mere pyare allah
kya kahun us ke siwa main ki hun banda tera
apne 'akbar' ko bana de mere KHaliq aisa
sachche dil se wo hamesha rahe banda tera
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 2)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.