Sufinama

abhi tak zaiqa bhula nahin dard-e-judai ka

Shah Akbar Danapuri

abhi tak zaiqa bhula nahin dard-e-judai ka

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    abhī tak zā.iqa bhūlā nahīñ dard-e-judā.ī

    dam āñkhoñ meñ hai dam bhartā huuñ lekin āshnā.ī

    fasāna ho gayā qissa kisī be-vafā.ī

    na legā koī ab bhūle se bhī naam āshnā.ī

    hamāre dil ne vo sadma uThāyā hai judā.ī

    zabāñ par apne aa.egā kabhī naam āshnā.ī

    ye aise mil ga.e dariyā se kar ab nahīñ milte

    tarīqa diyā hai qatroñ ko bhī kyā āshnā.ī

    nahīñ ma.alūm aa jaatā hai dil kyuuñ kar hasīnoñ par

    kisī āshiq se sīkheñge tarīqa āshnā.ī

    ajab dard-āshnā huuñ dard-e-dil maiñ mol letā huuñ

    mujhe pyārā hai shauq-e-vasl se sadma judā.ī

    sitam ho jafā jo kuchh kare vo sab gavārā hai

    kare kis muñh se shikva āshiq us bevafā.ī

    visāl-e-yār hadiya hai naqd-e-jān-o-dil 'akbar'

    havās-o-hosh nazrāna hai us rū-numā.ī

    abhi tak zaiqa bhula nahin dard-e-judai ka

    dam aankhon mein hai dam bharta hun lekin aashnai ka

    fasana ho gaya qissa kisi ki be-wafai ka

    na lega koi ab bhule se bhi nam aashnai ka

    hamare dil ne wo sadma uThaya hai judai ka

    zaban par apne aaega kabhi nam aashnai ka

    ye aise mil gae dariya se ja kar ab nahin milte

    tariqa diya hai qatron ko bhi kya aashnai ka

    nahin malum aa jata hai dil kyun kar hasinon par

    kisi aashiq se sikhenge tariqa aashnai ka

    ajab dard-ashna hun dard-e-dil main mol leta hun

    mujhe pyara hai shauq-e-wasl se sadma judai ka

    sitam ho ya jafa jo kuchh kare wo sab gawara hai

    kare kis munh se shikwa aashiq us ki bewafai ka

    visal-e-yar ka hadiya hai naqd-e-jaan-o-dil 'akbar'

    hawas-o-hosh nazrana hai us ki ru-numai ka

    Source :
    • Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 5)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now